main shair hun
maiñ shā.ir huuñ mujhe ahl-e-hunar fankār kahte haiñ
mujhe ramz-āshnā-e-nik.hat-e-gulzār kahte haiñ
ḳhulūs-o-uns kā mujh ko alam-bardār kahte haiñ
jo baaqī haiñ mujhe ik banda-e-bekār kahte haiñ
zabūñ-hālī kī zad meñ hai bayāñ merā zabāñ merī
nahīñ minnat-kash-e-tāb-e-shunīdan dāstān merī
jise dekho vahī merī haqīqat se hai begāna
koī be-ḳhud samajhtā hai koī kahtā hai dīvāna
sunā.ūñ kis ko jā kar apnī arzānī kā afsāna
yaqīñ kiije mire haq meñ na mister hai na maulānā
unheñ zid maiñ gulistāñ ko gulistāñ kyuuñ nahīñ kahtā
harīm-e-dahr meñ insāñ ko insāñ kyuuñ nahīñ kahtā
har ik bazm-e-suḳhan meñ go mujhe bulvāyā jaatā hai
jo haiñ be-zauq un ko bhī mujhe sunvāyā jaatā hai
sitam kyā kyā mirī jān-e-hazīñ par Dhāyā jaatā hai
faqat ik paan aur kuchh daad par Tarḳhāyā jaatā hai
mujhe sheroñ ke badle ik nivāla tak nahīñ miltā
jahāñ chhaptā huuñ mujh ko vo risāla tak nahīñ miltā
adā-e-dil vahī aur ḳhū-e-dil-dārī bhī sīkhī hai
barā-e-dostāñ ye tarz-e-ayyārī bhī sīkhī hai
ba-pās-e-ahl-e-majlis nāz-bardārī bhī sīkhī hai
adākārī meñ yaktā huuñ gulū-kārī bhī sīkhī hai
fuzūñ kuchh aur bhī ab rang-e-mahfil karne vaalā huuñ
maiñ apnī shā.irī meñ raqs shāmil karne vaalā huuñ
ḳhudā rakkhe mirī begam ġharīq-e-nukta-chīnī hai
mujassam barhamī nā-vāqif-e-ḳhanda-jabīnī hai
na is kī baat meñ narmī na lab meñ angbīnī hai
ba-faiz-e-shā.irī ghar meñ na ghī hai aur na chīnī hai
tabī.at ab to hai āmāda-e-tark-e-ġhazal-ḳhvānī
che rā kaarī kunad aaqil ki baaz aayad pashemānī
main shair hun mujhe ahl-e-hunar fankar kahte hain
mujhe ramz-ashna-e-nikhat-e-gulzar kahte hain
KHulus-o-uns ka mujh ko alam-bardar kahte hain
jo baqi hain mujhe ek banda-e-bekar kahte hain
zabun-haali ki zad mein hai bayan mera zaban meri
nahin minnat-kash-e-tab-e-shunidan dastan meri
jise dekho wahi meri haqiqat se hai begana
koi be-KHud samajhta hai koi kahta hai diwana
sunaun kis ko ja kar apni arzani ka afsana
yaqin kije mere haq mein na mister hai na maulana
unhen zid main gulistan ko gulistan kyun nahin kahta
harim-e-dahr mein insan ko insan kyun nahin kahta
har ek bazm-e-suKHan mein go mujhe bulwaya jata hai
jo hain be-zauq un ko bhi mujhe sunwaya jata hai
sitam kya kya meri jaan-e-hazin par Dhaya jata hai
faqat ek pan aur kuchh dad par TarKHaya jata hai
mujhe sheron ke badle ek niwala tak nahin milta
jahan chhapta hun mujh ko wo risala tak nahin milta
ada-e-dil wahi aur KHu-e-dil-dari bhi sikhi hai
bara-e-dostan ye tarz-e-ayyari bhi sikhi hai
ba-pas-e-ahl-e-majlis naz-bardari bhi sikhi hai
adakari mein yakta hun gulu-kari bhi sikhi hai
fuzun kuchh aur bhi ab rang-e-mahfil karne wala hun
main apni shairi mein raqs shamil karne wala hun
KHuda rakkhe meri begam ghariq-e-nukta-chini hai
mujassam barhami na-waqif-e-KHanda-jabini hai
na is ki baat mein narmi na lab mein angbini hai
ba-faiz-e-shairi ghar mein na ghi hai aur na chini hai
tabiat ab to hai aamada-e-tark-e-ghazal-KHwani
che ra kari kunad aaqil ki baz aayad pashemani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.