main
aur tanhā.ī
so rahe the
tumhārā ḳhat aayā
ek bhārī paañv
tanhā.ī ke siine par paḌā
chīḳh paḌī aur lipaT ga.ī mujh se
us kī bāhoñ kī
qaid meñ
tumhārā ḳhat paḌhā
phir paḌhā
baar baar paḌhā
dil dhaḌkā
vo dekhtī
to Dar jaatī
man meñ shor sā uThā
vo suntī to
mar jaatī
maiñ ne
us kā chehra takiye se chhupā liyā
us kī aañkh khulī ḳhafā huī
aur chalī ga.ī
sub.h huī
to
bistar par maujūd thī
mere baġhair
kidhar jā.egī
kis ke yahāñ jā.egī
tanhā.ī
aur tanhai
so rahe the
tumhaara KHat aaya
ek bhaari panw
tanhai ke sine par paDa
chiKH paDi aur lipaT gai mujh se
us ki bahon ki
qaid mein
tumhaara KHat paDha
phir paDha
bar bar paDha
dil dhaDka
wo dekhti
to Dar jati
man mein shor sa uTha
wo sunti to
mar jati
main ne
us ka chehra takiye se chhupa liya
us ki aankh khuli KHafa hui
aur chali gai
subh hui
to
bistar par maujud thi
mere baghair
kidhar jaegi
kis ke yahan jaegi
tanhai
- Book : Akeli (Pg. 86)
- Author : Shabnam Ashai
- Publication : Zehn-e-Jadid, Post Box 7042, New Delhi-110002 (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.