main
kis qadar raushan haiñ ab arz-o-samā
nuur hī nuur āsmāñ-tā-āsmāñ
mere andar Dūbte chaḌhte hue sūraj ka.ī
jism merā raushnī hī raushnī
paañv mere nuur ke pātāl meñ
haath mere jagmagāte āsmānoñ ko sambhāle
sar mirā kāñdhoñ pe ik sūraj
ki nādīda ḳhalāoñ se pare ubhrā huā
aur zamīñ ke roz-o-shab se chhūT kar
āgahī kī tez-rau kirnoñ pe maiñ uḌtā huā
chaar jānib ik suhānī tīrgī kī khoj meñ niklā huā
kis qadar raushan hain ab arz-o-sama
nur hi nur aasman-ta-asman
mere andar Dubte chaDhte hue suraj kai
jism mera raushni hi raushni
panw mere nur ke patal mein
hath mere jagmagate aasmanon ko sambhaale
sar mera kandhon pe ek suraj
ki nadida KHalaon se pare ubhra hua
aur zamin ke roz-o-shab se chhuT kar
aagahi ki tez-rau kirnon pe main uDta hua
chaar jaanib ek suhani tirgi ki khoj mein nikla hua
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 473)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.