main sita hun
patī ke saath meñ
banvās meñ rahnā muqaddar hai mirā
koī rāvan mirī kuTiyā meñ bhakshak ban ke aa.e
dhoka de mujh ko
uThā le jaa.e mujh ko merī duniyā se
bichhaḌ jā.ūñ maiñ apnoñ se
bachā kar dushmanoñ se dharm bhī
maryāda bhī
zinda rakhūñ ḳhud ko
parā.e des meñ apne patī kā rāsta dekhūñ
kaTe har pal mirā sadiyoñ ke jaisā
mire dukh ko samajhne kī kisī ko kyā zarūrat hai
bhale maiñ raam kī patnī huuñ lekin huuñ to aurat hī
ye jo sammān hai is se mujhe nīche utāro
mujhe agnī parikshā se guzāro
pati ke sath mein
banwas mein rahna muqaddar hai mera
koi rawan meri kuTiya mein bhakshak ban ke aae
dhoka de mujh ko
uTha le jae mujh ko meri duniya se
bichhaD jaun main apnon se
bacha kar dushmanon se dharm bhi
maryaada bhi
zinda rakhun KHud ko
parae des mein apne pati ka rasta dekhun
kaTe har pal mera sadiyon ke jaisa
mere dukh ko samajhne ki kisi ko kya zarurat hai
bhale main ram ki patni hun lekin hun to aurat hi
ye jo samman hai is se mujhe niche utaro
mujhe agni pariksha se guzaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.