main
tajallī ke shahanshah sun
ḳhamoshī shor kartī thī
maiñ rotī thī
bilaktī thī
ka.ī be-ḳhvāb sī nīñdoñ meñ gum
mātam-kunāñ thī maiñ
samay kī dhūp-chhāñv se pareshāñ thī
magar ab haal kuchh yuuñ hai
mazāq-e-zindagī to ḳhatm ho kar hī nahīñ detā
laboñ par qahqahoñ kī shiddatoñ se ḳhuun risne lag gayā hai
tajallī ke shahanshah sun
ki terī yaad kī hiddat se uktāhaT sī ab mahsūs hotī hai
mohabbat kā gharauñdā nār-e-duniyā ne jalā Daalā
jo darpan thā sunahrī ḳhvāhishoñ kā
ab vahāñ par raakh baaqī hai
tujhe merī ḳhabar kab thī
tujhe merī ḳhabar kyoñ ho
ki tū to jhūTī duniyā hai
vo duniyā jo mujhe mere jahāñ se duur kartī hai
ḳhudā se duur kartī hai
maiñ ulfat ke samundar ke jazīre par huī barbād tanhā huuñ
ye barbādī mirā singhār Thahrī hai
maiñ ab mānūs huuñ is se
maiñ ab koī bhī tabdīlī kabhī bhī sah nahīñ saktī
mujhe barbād rahne de
mujhe ābād mat karnā
maiñ shab-zādī huuñ sadiyoñ se
maiñ apnī zaat kī andher nagrī meñ tajallī DhūñDne meñ mahv huuñ
mere jazīre par kabhī aa kar mujhe āvāz mat denā
bazāhir aañkh se dikhtī chamak se mujh ko nafrat hai
maiñ shab-zādī huuñ sadiyoñ se
tajallī ke shahanshah sun
mujhe āvāz mat denā
tajalli ke shahanshah sun
KHamoshi shor karti thi
main roti thi
bilakti thi
kai be-KHwab si nindon mein gum
matam-kunan thi main
samay ki dhup-chhanw se pareshan thi
magar ab haal kuchh yun hai
mazaq-e-zindagi to KHatm ho kar hi nahin deta
labon par qahqahon ki shiddaton se KHun risne lag gaya hai
tajalli ke shahanshah sun
ki teri yaad ki hiddat se uktahaT si ab mahsus hoti hai
mohabbat ka gharaunda nar-e-duniya ne jala Dala
jo darpan tha sunahri KHwahishon ka
ab wahan par rakh baqi hai
tujhe meri KHabar kab thi
tujhe meri KHabar kyon ho
ki tu to jhuTi duniya hai
wo duniya jo mujhe mere jahan se dur karti hai
KHuda se dur karti hai
main ulfat ke samundar ke jazire par hui barbaad tanha hun
ye barbaadi mera singhaar Thahri hai
main ab manus hun is se
main ab koi bhi tabdili kabhi bhi sah nahin sakti
mujhe barbaad rahne de
mujhe aabaad mat karna
main shab-zadi hun sadiyon se
main apni zat ki andher nagri mein tajalli DhunDne mein mahw hun
mere jazire par kabhi aa kar mujhe aawaz mat dena
bazahir aankh se dikhti chamak se mujh ko nafrat hai
main shab-zadi hun sadiyon se
tajalli ke shahanshah sun
mujhe aawaz mat dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.