main tere hijr ka saim
harīm-e-sā'at-e-ruḳhsat meñ
donoñ ne
vuzū āñkhoñ ke zamzam se kiyā thā
aur namāz-e-‘ishq adā kī thī
siyām-e-hijr kī niyyat se
ik duuje se bichhḌe the
tire hālāt se vāqif nahīñ lekin
maiñ tere hijr kā saa.im
baḌī muddat se sahn-e-kā'ba-e-tanhā.ī meñ huuñ
e’tikāf-e-‘ishq kī hālat meñ ehrām-e-vafā bāñdhe
tavāf-e-yād meñ mashġhūl huuñ kab se
ye merī bandagī maqbūl ho jaa.e
agar tū lauT aa.e aur
mujhe bār-e-digar āñkhoñ ke zamzam se bhigo jaa.e
tirī qurbat kī ‘ajvah gar mayassar ho
to phir iftār-e-saum-e-hijr ho jaa.e
harim-e-sa'at-e-ruKHsat mein
donon ne
wuzu aankhon ke zamzam se kiya tha
aur namaz-e-‘ishq ada ki thi
siyam-e-hijr ki niyyat se
ek duje se bichhDe the
tere haalat se waqif nahin lekin
main tere hijr ka saim
baDi muddat se sahn-e-ka'ba-e-tanhai mein hun
e’tikaf-e-‘ishq ki haalat mein ehram-e-wafa bandhe
tawaf-e-yaad mein mashghul hun kab se
ye meri bandagi maqbul ho jae
agar tu lauT aae aur
mujhe bar-e-digar aankhon ke zamzam se bhigo jae
teri qurbat ki ‘ajwah gar mayassar ho
to phir iftar-e-saum-e-hijr ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.