main teri mohabbat se na-umid to nahin hun
main teri mohabbat se na-umid to nahin hun
Kanwal Pradeep Mahajan
MORE BYKanwal Pradeep Mahajan
is ḳhāmushī se shab kī
jab sochtā huuñ tujh ko
ik shor mere andar uThtā hai
aur mujh ko
rah rah ke sujhātā hai
tū bhuul ga.ī mujh ko
mujh hī ko bhuul baiThī
jo 'aks hai terā hī
jo ruup hai terā hī
tujh hī se munsalik hai
jis kī tamām duniyā
tujh hī pe jis ne samjhā
ab ḳhatm tajassus hai
us ko hī bhuul baiThī
jis ne tire bahāne
tā'mīr kiye ḳhvāboñ ke shīsh-mahal kitne
ye ḳhvāb itnī jaldī TūTeñge kyā ḳhabar thī
lekin nahīñ
abhī to āġhāz-e-mohabbat hai
shab-e-hijr kī udāsī
ye iztirāb-e-paiham
ye dā.imī nahīñ hai
tanhā.iyoñ kā mausam
ab hai to phir nahīñ hai
dasht-e-firāq hai to bazm-e-visāl bhī hai
maiñ terī mohabbat se naumīd to nahīñ huuñ
is KHamushi se shab ki
jab sochta hun tujh ko
ek shor mere andar uThta hai
aur mujh ko
rah rah ke sujhata hai
tu bhul gai mujh ko
mujh hi ko bhul baiThi
jo 'aks hai tera hi
jo rup hai tera hi
tujh hi se munsalik hai
jis ki tamam duniya
tujh hi pe jis ne samjha
ab KHatm tajassus hai
us ko hi bhul baiThi
jis ne tere bahane
ta'mir kiye KHwabon ke shish-mahal kitne
ye KHwab itni jaldi TuTenge kya KHabar thi
lekin nahin
abhi to aaghaz-e-mohabbat hai
shab-e-hijr ki udasi
ye iztirab-e-paiham
ye daimi nahin hai
tanhaiyon ka mausam
ab hai to phir nahin hai
dasht-e-firaq hai to bazm-e-visal bhi hai
main teri mohabbat se naumid to nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.