main thak gai hun
vahshat kī amāvas meñ tumhārī yaad chhupī hai
aur tumhārī yaad meñ bahut saare ḳhauf
bilkul achānak
baġhair kisī vaj.h ke
siine meñ dhaḌdhaḌāte dil ko
sākit-o-jāmid karne vaale ḳhauf
ye vo aise vaise achchhe bure
mārne vaale toḌne vaale ḳhauf
bhayānak qism ke ḳhauf
ajiib qism ke ḳhauf
keñchulī badalne vaale ḳhauf
aur patā nahīñ kaise kaise ḳhauf
tum ne sunā nahīñ
maiñ tum se mohabbat kar ke bahut se ḳhaufoñ meñ ghir ga.ī huuñ
maiñ thak ga.ī huuñ
wahshat ki amawas mein tumhaari yaad chhupi hai
aur tumhaari yaad mein bahut sare KHauf
bilkul achanak
baghair kisi wajh ke
sine mein dhaDdhaDate dil ko
sakit-o-jamid karne wale KHauf
ye wo aise waise achchhe bure
marne wale toDne wale KHauf
bhayanak qism ke KHauf
ajib qism ke KHauf
kenchuli badalne wale KHauf
aur pata nahin kaise kaise KHauf
tum ne suna nahin
main tum se mohabbat kar ke bahut se KHaufon mein ghir gai hun
main thak gai hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.