main to jaise khaDa hua hun ek manzil par
maiñ to jaise khaḌā huā huuñ ik manzil par
aur lamhe ye vaqt ke TukḌe
yuuñ uḌte haiñ chāroñ taraf ik titlī jaise
jis ke pañkh kabhī to sunahre
aur kabhī lagte haiñ siyah sotā
yuuñ hī be-ma.anī be-mauqa
nāchne lagtī hai duniyā dil giit sunātā hai
banjar dhartī se uble paḌte haiñ nuur ke chashme
aur achānak
bādal kī chādar sūraj ke muñh ko Dhak detī hai
maddham paḌne lagtā hai sañgīt kā jaadū
nuur kā dam ghuTne lagtā hai
aur lamhe ye vaqt ke TukḌe
yuuñ uḌte haiñ chāroñ taraf ik titlī jaise
jis ke pañkh kabhī to sunahre
aur kabhī lagte haiñ siyah
main to jaise khaDa hua hun ek manzil par
aur lamhe ye waqt ke TukDe
yun uDte hain chaaron taraf ek titli jaise
jis ke pankh kabhi to sunahre
aur kabhi lagte hain siyah sota
yun hi be-mani be-mauqa
nachne lagti hai duniya dil git sunata hai
banjar dharti se uble paDte hain nur ke chashme
aur achanak
baadal ki chadar suraj ke munh ko Dhak deti hai
maddham paDne lagta hai sangit ka jadu
nur ka dam ghuTne lagta hai
aur lamhe ye waqt ke TukDe
yun uDte hain chaaron taraf ek titli jaise
jis ke pankh kabhi to sunahre
aur kabhi lagte hain siyah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.