main tum se mohabbat karta hun
maiñ tum se mohabbat kartā huuñ kartā huuñ mohabbat tum se maiñ
is baat kī koī had hai kyā kahtā hī rahūñ har lahje meñ
jis vaqt jahāñ dekhā thā tumheñ sochā thā nazar kā dhokā hai
par husn tumhārā aisā thā rakkhā hī huā hai dhoke meñ
har tarah kī bāteñ karte the aisī na anokhī thiiñ bāteñ
ab ishq kaheñ yā nā-samjhī kuchh kahne meñ yā sunñe meñ
ik lams meñ kyā kyā haath aaya ik pal meñ ka.ī sadiyāñ jī liiñ
kuchh ishq kiyā kuchh kaam ai dil zanjīr paḌī darvāze meñ
vo shaḳhs kahāñ hogā 'āmir' chhoḌo koī taaza baat kareñ
to asl meñ baat kuchh aisī hai vo ye ki kahāñ thā vaise meñ
main tum se mohabbat karta hun karta hun mohabbat tum se main
is baat ki koi had hai kya kahta hi rahun har lahje mein
jis waqt jahan dekha tha tumhein socha tha nazar ka dhoka hai
par husn tumhaara aisa tha rakkha hi hua hai dhoke mein
har tarah ki baaten karte the aisi na anokhi thin baaten
ab ishq kahen ya na-samjhi kuchh kahne mein ya sunne mein
ek lams mein kya kya hath aaya ek pal mein kai sadiyan ji lin
kuchh ishq kiya kuchh kaam ai dil zanjir paDi darwaze mein
wo shaKHs kahan hoga 'amir' chhoDo koi taza baat karen
to asl mein baat kuchh aisi hai wo ye ki kahan tha waise mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.