main tumhaare liye kya kar sakta hun
abdul-karīm
maiñ jab tumhāre māthe par phaile dukhoñ
mehnatī hāthoñ par qismat kī lakīroñ
bhuuk aur bīmārī se khelte tumhāre bachchoñ
vaqt se pahle būḌhī ho jaane vaalī tumhārī auratoñ
qadam qadam par sisaktī izzat-e-nafs
aur phaile hue hāthoñ ko dekhtā huuñ
to merī ragoñ meñ lahū ke ba-jā.e
nafrat bahne lagtī hai
maiñ tumhāre liye kyā kar saktā huuñ abdul-karīm
tumheñ apnī fasl ḳhud kāsht karnī hai
fasl pakne se pahle
apnī darāñtī tez karvā lo
tumheñ kāTnī hai
apnī boī huī fasl
zulm-āmāda haath
aur kalaf lagī gardan
aise vaqtoñ meñ
maiñ tumhāre liye kuchh kar sakūñgā
maiñ karūñgā mazbūt
tumhāre haath aur dil
baḌhā.uñgā tumhārī himmat
aur dikhā.ūñgā tumheñ rasta
na.ī zindagī kā
abdul-karim
main jab tumhaare mathe par phaile dukhon
mehnati hathon par qismat ki lakiron
bhuk aur bimari se khelte tumhaare bachchon
waqt se pahle buDhi ho jaane wali tumhaari auraton
qadam qadam par sisakti izzat-e-nafs
aur phaile hue hathon ko dekhta hun
to meri ragon mein lahu ke ba-jae
nafrat bahne lagti hai
main tumhaare liye kya kar sakta hun abdul-karim
tumhein apni fasl KHud kasht karni hai
fasl pakne se pahle
apni daranti tez karwa lo
tumhein kaTni hai
apni boi hui fasl
zulm-amada hath
aur kalaf lagi gardan
aise waqton mein
main tumhaare liye kuchh kar sakunga
main karunga mazbut
tumhaare hath aur dil
baDhaunga tumhaari himmat
aur dikhaunga tumhein rasta
nai zindagi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.