main tumhaare liye le ke aaya hun
daftar se churāyā huā nisf din
dostoñ se bachā.ī huī ek shaam
bachchoñ se Thage hue vaade
biivī ke hisse se kuchh narm garm lams
kuchh sote jāgte bose
aur ḳhvāboñ se Tāñkī huī ye raat!
maiñ tumhāre liye le ke aayā huuñ
sarsabz mausamoñ ke ujle biij
qadīm zamānoñ se ristī huī ḳhunuk havā
aabī kināroñ se sarshār miTTī kī roīdagī
aur ragoñ meñ khilte hue safed gulāboñ kā shahad!
maiñ tumhāre liye le ke aayā huuñ
be-tartīb sāñsoñ kī maalā
dahakte hāthoñ kī sarsarāhaT
āñkhoñ meñ duur tak gūñjtī huī ḳhāmoshī
aur vijdān meñ
ek bhūlī huī muskurāhaT!
tum ne mere liye rakkhī hai
be-kaif tanhā.ī kī āġhosh
ThanDe lams se āvezāñ muskurāhaT
pasīne meñ bhīge bistar ke tevar
khurdure lahje kī kaḌvāhaT
uryāñ ḳhvāhishoñ kī ḳharāsheñ
guzrī raat kī baasī mahak
aur tulū hote pachhtāve kī ek sub.h!
daftar se churaya hua nisf din
doston se bachai hui ek sham
bachchon se Thage hue wade
biwi ke hisse se kuchh narm garm lams
kuchh sote jagte bose
aur KHwabon se Tanki hui ye raat!
main tumhaare liye le ke aaya hun
sarsabz mausamon ke ujle bij
qadim zamanon se risti hui KHunuk hawa
aabi kinaron se sarshaar miTTi ki roidagi
aur ragon mein khilte hue safed gulabon ka shahad!
main tumhaare liye le ke aaya hun
be-tartib sanson ki mala
dahakte hathon ki sarsarahaT
aankhon mein dur tak gunjti hui KHamoshi
aur wijdan mein
ek bhuli hui muskurahaT!
tum ne mere liye rakkhi hai
be-kaif tanhai ki aaghosh
ThanDe lams se aawezan muskurahaT
pasine mein bhige bistar ke tewar
khurdure lahje ki kaDwahaT
uryan KHwahishon ki KHarashen
guzri raat ki basi mahak
aur tulu hote pachhtawe ki ek subh!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.