main us din ki raushan aur
maiñ us din kī raushan aur
saffāk sahar ke sāhil par
āñkheñ malte dhuup se laḌte
bhaag rahī huuñ
jis ne mujh par khulne vaale
sab darvāze bheḌ diye haiñ
chāñd tarāshe sab darvāze
darvāzoñ ke pīchhe vo
jhilmil jhilmil
tāroñ meñ malfūf manāzir
sapnā the
manzar manzar khulne meñ bhī
kaisī naT-khaT bhūl-bhulayyāñ
kitne sundar bal chhal the
varna jaadū nagrī meñ
koī kartā kaise rain basar
main us din ki raushan aur
saffak sahar ke sahil par
aankhen malte dhup se laDte
bhag rahi hun
jis ne mujh par khulne wale
sab darwaze bheD diye hain
chand tarashe sab darwaze
darwazon ke pichhe wo
jhilmil jhilmil
taron mein malfuf manazir
sapna the
manzar manzar khulne mein bhi
kaisi naT-khaT bhul-bhulayyan
kitne sundar bal chhal the
warna jadu nagri mein
koi karta kaise rain basar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.