main wapas aaunga
ġhār-e-hara-e-shā.erī meñ
baiThne jaatā huuñ maiñ
aur maiñ hisār-e-zāt bhī kar ke rakhūñgā
is hisār-e-zāt ke bāhar
koī bhī dāshta shohrat kī
shahr-nau lagā baiThe na apnā
dekhte rahnā
na karnā intizār is kā
ki maiñ taaza sahīfa laane vaalā huuñ
ki har taaza sahīfa
ek din mansūḳh honā hai
use vo ma.anī-o-mafhūm khonā hai
jo asal mudda.ā hai
maiñ vāpas ā.ūñgā
aur maiñ 'kitāb-e-zāt' ik ham-rāh lā.ūñgā
'kitāb-e-zāt' kī har aayat
insānī masā.il kā bayāñ hogī
talāsh-e-hal ke māroñ kī
umīdoñ kā ziyāñ hogī
masā.il jāvedāñ haiñ
zaat kā asal-e-bayāñ haiñ
aur farār un se balā hai
aur yahī ramz-e-talāsh-e-'āñ-ḳhudā' hai
aur talāsh-e-'āñ-ḳhudā' ā.īna-hā-e-zindagī
aur zindagī ġhār-e-hirā hai zāt-e-insāñ kī
isī ġhār-e-hirā meñ jab
mayassar zaat aa.egī
maiñ vāpas ā.ūñgā
aur maiñ 'kitāb-e-zāt' ik ham-rāh lā.ūñgā
koī bhī dāshta shohrat kī
shahr-e-nau lagā baiThe na apnā
dekhte rahnā
ghaar-e-hara-e-shaeri mein
baiThne jata hun main
aur main hisar-e-zat bhi kar ke rakhunga
is hisar-e-zat ke bahar
koi bhi dashta shohrat ki
shahr-nau laga baiThe na apna
dekhte rahna
na karna intizar is ka
ki main taza sahifa lane wala hun
ki har taza sahifa
ek din mansuKH hona hai
use wo mani-o-mafhum khona hai
jo asal muddaa hai
main wapas aaunga
aur main 'kitab-e-zat' ek ham-rah launga
'kitab-e-zat' ki har aayat
insani masail ka bayan hogi
talash-e-hal ke maron ki
umidon ka ziyan hogi
masail jawedan hain
zat ka asal-e-bayan hain
aur farar un se bala hai
aur yahi ramz-e-talash-e-'an-KHuda' hai
aur talash-e-'an-KHuda' aaina-ha-e-zindagi
aur zindagi ghaar-e-hira hai zat-e-insan ki
isi ghaar-e-hira mein jab
mayassar zat aaegi
main wapas aaunga
aur main 'kitab-e-zat' ek ham-rah launga
koi bhi dashta shohrat ki
shahr-e-nau laga baiThe na apna
dekhte rahna
- Book : Na Mau'ud (Pg. 49)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.