main wo patthar
us se rishta rahā ajab merā
aa gayā naam be-sabab merā
us se aage ke marhale pe magar
nā-rasā.ī ke silsile pe magar
maiñ to kuchh bol bhī nahīñ saktā
raaz ye khol bhī nahīñ saktā
silsila duur tak udāsī kā
ek manzar hai nā-sipāsī kā
jhuuT ho vaqt ho ki ishq-e-mudām
yaad ho ḳhvāb ho ki hij-e-davām
un ke to paañv bhī nahīñ hote
aur vo chal kar aa.e mere paas
bār-e-ehsāñ bhī mujh pe Daal ga.e
le uḌe chhīn kar vo hosh-o-havās
jaane sab ho ga.e kahāñ rū-posh
haañ vahī jān-e-āsmāñ-bar-dosh
shor hai ḳhitta-e-adāvat meñ
maiñ huuñ phir hujra-e-nadāmat meñ
kho gayā shauq-e-intizār mirā
chhin gayā mujh se merā shahr-e-najāt
kis bayābāñ meñ us ne Daal diyā
ho ga.ī duur shāhrāh-e-hayat
yuuñ ruḳh-e-e'tibār bhī TuuTā
maz.hab-e-iḳhtiyār bhī chhūTā
ishq jab imtihān letā hai
shahr-e-mahbūb chhūT jaatā hai
maiñ vo patthar jo TūTtā bhī nahīñ
sabr-e-ayyūb TuuT jaatā hai
us se rishta raha ajab mera
aa gaya nam be-sabab mera
us se aage ke marhale pe magar
na-rasai ke silsile pe magar
main to kuchh bol bhi nahin sakta
raaz ye khol bhi nahin sakta
silsila dur tak udasi ka
ek manzar hai na-sipasi ka
jhuT ho waqt ho ki ishq-e-mudam
yaad ho KHwab ho ki hij-e-dawam
un ke to panw bhi nahin hote
aur wo chal kar aae mere pas
bar-e-ehsan bhi mujh pe Dal gae
le uDe chhin kar wo hosh-o-hawas
jaane sab ho gae kahan ru-posh
han wahi jaan-e-asman-bar-dosh
shor hai KHitta-e-adawat mein
main hun phir hujra-e-nadamat mein
kho gaya shauq-e-intizar mera
chhin gaya mujh se mera shahr-e-najat
kis bayaban mein us ne Dal diya
ho gai dur shahrah-e-hayat
yun ruKH-e-e'tibar bhi TuTa
mazhab-e-iKHtiyar bhi chhuTa
ishq jab imtihan leta hai
shahr-e-mahbub chhuT jata hai
main wo patthar jo TuTta bhi nahin
sabr-e-ayyub TuT jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.