main ye chahta hun
maiñ ye chāhtā huuñ samundar ke sāhil pe
bhīgī huī ret par gaal rakkhe
chand lamhe
isī tarah leTā rahūñ
magar vaqt kī bhiiḌ meñ
mire paas apne liye
chand lamhe kahāñ
havāoñ ke is shor meñ
mere garebān kī dhajjiyāñ
ab kahāñ
samundar kī āġhosh meñ itnī lahreñ haiñ
ek bhī lahar aisī nahīñ
jo le jaa.e mujh ko bahā kar
ik aise jazīre kī jānib
jahāñ koī rahtā na ho
jahāñ pāniyoñ meñ mirī asthiyāñ
havā meñ
mire naam kā koī saaya na ho
main ye chahta hun samundar ke sahil pe
bhigi hui ret par gal rakkhe
chand lamhe
isi tarah leTa rahun
magar waqt ki bhiD mein
mere pas apne liye
chand lamhe kahan
hawaon ke is shor mein
mere gareban ki dhajjiyan
ab kahan
samundar ki aaghosh mein itni lahren hain
ek bhi lahar aisi nahin
jo le jae mujh ko baha kar
ek aise jazire ki jaanib
jahan koi rahta na ho
jahan paniyon mein meri asthiyan
hawa mein
mere nam ka koi saya na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.