main zer-e-lab apna shajra-e-nasab dohra raha tha
chhaTī baar
vo dajla-o-furāt ke darmiyān
mīnāra-e-bābul ke saa.e meñ
mujh par munkashif hoī
vo muqaddas mīnār kī sātvīñ manzil par baiThī
āyat-dar-āyat bikhre sitāroñ kī
tilāvat par māmūr thī
vo ashtār ke ma.abad ke shumāl meñ saa.e bāñTte
bāġhāt-e-mua.llaqā ko
bār-āvarī kī duā dene aa.ī thī
us kā be-niyāz jism
un hāthoñ kī nā-rasā.ī ko pahchāntā thā
jo use chhūne kī tamannā meñ
zer-e-qabā jal rahe the
maiñ ne do lashkaroñ ke darmiyān
apne daadā ke rajaz meñ kalām kiyā
jis kī muTThī meñ qabīle kī aabrū thī
mere aqab meñ hare jismoñ vaalī aurteñ
āsmānī daf kī lai par
maut kā tarāna gaane lagīñ
merā najībut-tarafain ghoḌā
jis kā shajara
merī uñgliyoñ kī poroñ par raqam thā
aur jise maiñ apnī aulād se bhī aziiz jāntā thā
maiñ ne us kī ziin meñ baiThne se inkār kiyā
aur havā par paañv rakhtā huā
dushman ke qalb-e-lashkar tak jā pahuñchā
mujhe dekh kar
sūrmāoñ kī āñkheñ
naaf tak phail ga.iiñ
maiñ zer-e-lab
apnā shajra-e-nasab dohrā rahā thā
maiñ ne apne paañv meñ bhāgte ḳhuun ko
mahmez dī
aur apnī zahr meñ bujhī talvār
maidān-e-jañg ke darmiyān gaaḌ dī
jis ke murassā daste par
zaitūn kā akhuva phuuT paḌā
maiñ apnī guzishta zindagī par
kaf-e-afsos malne lagā
chhaTi bar
wo dajla-o-furaat ke darmiyan
minara-e-babul ke sae mein
mujh par munkashif hoi
wo muqaddas minar ki satwin manzil par baiThi
aayat-dar-ayat bikhre sitaron ki
tilawat par mamur thi
wo ashtar ke mabad ke shumal mein sae banTte
baghat-e-muallaqa ko
bar-awari ki dua dene aai thi
us ka be-niyaz jism
un hathon ki na-rasai ko pahchanta tha
jo use chhune ki tamanna mein
zer-e-qaba jal rahe the
main ne do lashkaron ke darmiyan
apne dada ke rajaz mein kalam kiya
jis ki muTThi mein qabile ki aabru thi
mere aqab mein hare jismon wali aurten
aasmani daf ki lai par
maut ka tarana gane lagin
mera najibut-tarafain ghoDa
jis ka shajara
meri ungliyon ki poron par raqam tha
aur jise main apni aulad se bhi aziz jaanta tha
main ne us ki zin mein baiThne se inkar kiya
aur hawa par panw rakhta hua
dushman ke qalb-e-lashkar tak ja pahuncha
mujhe dekh kar
surmaon ki aankhen
naf tak phail gain
main zer-e-lab
apna shajra-e-nasab dohra raha tha
main ne apne panw mein bhagte KHun ko
mahmez di
aur apni zahr mein bujhi talwar
maidan-e-jang ke darmiyan gaD di
jis ke murassa daste par
zaitun ka akhuwa phuT paDa
main apni guzishta zindagi par
kaf-e-afsos malne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.