majaz ki maut par
ai be-niyāz-e-shuq-e-farāvāñ kahāñ hai tū
ai nig.hat-e-shamīm-e-bahārāñ kahāñ hai tū
ai bā.is-e-faroġh-e-gulistāñ kahāñ hai tū
ai raunaq-e-vajūd-e-ḳhayābāñ kahāñ hai tū
pathrā ga.ī haiñ āñkheñ tire intizār meñ
kuchh to batā ki ai mah-e-tābāñ kahāñ hai tū
vo tere shauq-e-naġhma-sarā.ī ko kyā huā
ai yaar naġhma-rez-o-ġhazal-ḳhvāñ kahāñ hai tū
tere baġhair kuchh nahīñ lutf-e-sharāb-o-sher
ai nig.hat-e-latīf-e-ḳhayābāñ kahāñ hai tū
haañ tere dam se raunaq-e-bazm-e-vajūd thī
ai raushnī-e-sham-e-farozāñ kahāñ hai tū
tere baġhair ḳhāk-basar phir rahā huuñ maiñ
mere baġhair sar-ba-garebāñ kahāñ hai tū
ai be-niyaz-e-shuq-e-farawan kahan hai tu
ai nighat-e-shamim-e-bahaaran kahan hai tu
ai bais-e-farogh-e-gulistan kahan hai tu
ai raunaq-e-wajud-e-KHayaban kahan hai tu
pathra gai hain aankhen tere intizar mein
kuchh to bata ki ai mah-e-taban kahan hai tu
wo tere shauq-e-naghma-sarai ko kya hua
ai yar naghma-rez-o-ghazal-KHwan kahan hai tu
tere baghair kuchh nahin lutf-e-sharab-o-sher
ai nighat-e-latif-e-KHayaban kahan hai tu
han tere dam se raunaq-e-bazm-e-wajud thi
ai raushni-e-sham-e-farozan kahan hai tu
tere baghair KHak-basar phir raha hun main
mere baghair sar-ba-gareban kahan hai tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.