majazi KHuda
chaar tinkoñ kā shauq-e-makāñ kyā banā
ne.amat-e-qurb-e-ulfat bhī jaatī rahī
us kā zauq-e-tamannā bahakne lagā
hubb-e-sarvat kī dīvār ūñchī kiye
hurmat-e-bandagī ko kuchaltā rahā
sajda-e-ishq pāmāl kartā rahā
vo taqāzā-e-mansab majāzī ḳhudā
jo ḳhudā ban ke jannat bachā na sakā
chaar tinkon ka shauq-e-makan kya bana
neamat-e-qurb-e-ulfat bhi jati rahi
us ka zauq-e-tamanna bahakne laga
hubb-e-sarwat ki diwar unchi kiye
hurmat-e-bandagi ko kuchalta raha
sajda-e-ishq pamal karta raha
wo taqaza-e-mansab majazi KHuda
jo KHuda ban ke jannat bacha na saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.