majburi
bachchoñ kā saal ammī kahiye manā.eñ kaise
hote nahīñ haiñ kaafī detī ho tum jo paise
das paise kā ġhubāra ab ho gayā hai pañdrah
mahñgā huā hai ammī lo chokleT pyārā
munnī bhī ro rahī hai kahtī hai do malā.ī
kulfī bhī mahñgī mahñgī mahñgī huī miThā.ī
tum ne hī to kahā thā le kar mirī balā.eñ
bachchoñ kā saal ammī kahiye manā.eñ kaise
āḳhir ye kyā sabab hai ki saal ke shurūa se
tum de rahī ho paise kyuuñ haath roke roke
āñkhoñ meñ aañsū lā kar kahne lagīñ ye ammī
majbūr ho ga.ī huuñ ai mere nanhe-munne
sarkār hī ne is kā elaan kar diyā thā
unnīs sau unāsī bachchoñ kā saal hogā
lekin bhalā ho bachchoñ is saal ke bajaT kā
jis ne hamāre uupar taxoñ kā bojh Daalā
dil meñ to haiñ umañgeñ lā duuñ tumheñ khilaune
majbūr kar diyā hai par mulk ke bajaT ne
sochā nahīñ hai shāyad netāoñ ne hamāre
ḳhushiyāñ manā.eñ kaise bachche ye pyāre pyāre pyāre
bachchon ka sal ammi kahiye manaen kaise
hote nahin hain kafi deti ho tum jo paise
das paise ka ghubara ab ho gaya hai pandrah
mahnga hua hai ammi lo chokleT pyara
munni bhi ro rahi hai kahti hai do malai
kulfi bhi mahngi mahngi mahngi hui miThai
tum ne hi to kaha tha le kar meri balaen
bachchon ka sal ammi kahiye manaen kaise
aaKHir ye kya sabab hai ki sal ke shurua se
tum de rahi ho paise kyun hath roke roke
aankhon mein aansu la kar kahne lagin ye ammi
majbur ho gai hun ai mere nanhe-munne
sarkar hi ne is ka elan kar diya tha
unnis sau unasi bachchon ka sal hoga
lekin bhala ho bachchon is sal ke bajaT ka
jis ne hamare upar taxon ka bojh Dala
dil mein to hain umangen la dun tumhein khilaune
majbur kar diya hai par mulk ke bajaT ne
socha nahin hai shayad netaon ne hamare
KHushiyan manaen kaise bachche ye pyare pyare pyare
- Book : kulliyat-e-Ameen-E-Hazeen (Pg. 33)
- Author : Ameen Hazin
- Publication : Sani Publication 390,Nana Peth,Pune-2 (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.