majburi
sochne se fā.eda kuchh bhī nahīñ
is haqīqat se huuñ maiñ bhī bā-ḳhabar
jāntā huuñ sochnā hai ik azaab
zindagī hotī hai is se talḳh-tar
maiñ magar majbūr huuñ lāchār huuñ
is se mumkin hī nahīñ mujh ko farāġh
laakh maiñ koshish karūñ lekin kabhī
rah nahīñ saktā hai be-soche dimāġh
sochne se faeda kuchh bhi nahin
is haqiqat se hun main bhi ba-KHabar
jaanta hun sochna hai ek azab
zindagi hoti hai is se talKH-tar
main magar majbur hun lachaar hun
is se mumkin hi nahin mujh ko faragh
lakh main koshish karun lekin kabhi
rah nahin sakta hai be-soche dimagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.