majid-amjad ke liye
tum aate ho duur des se
duur des se aane vāloñ par
har koī hañstā hai
dil Dartā hai
jab sard havā ke āñchal meñ
muñh Dhāñp parinde sote haiñ
jab shaam Dhale dīvāroñ par
kuchh saa.e gaD-maD hote haiñ
kuchh shakleñ rañg jamātī haiñ
ujḌī ujḌī dahlīzoñ par
ḳhāmoshī dastak detī hai
aur band kivāḌoñ kī tanhā.ī
har-sū ḳhaak uḌātī hai
is lamhe koī
dil meñ karvaT letā hai
jab vaqt ke kāhil māthe par
nāmoñ kī būñdeñ girtī haiñ
miTTī meñ ḳhushbū gholtī haiñ
har phuul ke dil meñ
aatī rut kā dhaḌkā jāgne lagtā hai
tab dhyān meñ jaane kis bastī se
dhīme dhīme qadmoñ kī āvāz sunā.ī detī hai
tum aate ho
tum aaoge
dil Dartā hai
tum aate ho dur des se
dur des se aane walon par
har koi hansta hai
dil Darta hai
jab sard hawa ke aanchal mein
munh Dhanp parinde sote hain
jab sham Dhale diwaron par
kuchh sae gaD-maD hote hain
kuchh shaklen rang jamati hain
ujDi ujDi dahlizon par
KHamoshi dastak deti hai
aur band kiwaDon ki tanhai
har-su KHak uDati hai
is lamhe koi
dil mein karwaT leta hai
jab waqt ke kahil mathe par
namon ki bunden girti hain
miTTi mein KHushbu gholti hain
har phul ke dil mein
aati rut ka dhaDka jagne lagta hai
tab dhyan mein jaane kis basti se
dhime dhime qadmon ki aawaz sunai deti hai
tum aate ho
tum aaoge
dil Darta hai
- Book : Aakhrii Din Se pehle (Pg. 67)
- Author : Abrar Ahmed
- Publication : Tahir Aslam Gora, Gora Publishers (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.