major-ishaq ki yaad mein
lo tum bhī ga.e ham ne to samjhā thā ki tum ne
bāñdhā thā koī yāroñ se paimān-e-vafā aur
ye ahd ki tā-umr ravāñ saath rahoge
raste meñ bichhaḌ jā.eñge jab ahl-e-safā aur
ham samjhe the sayyād kā tarkash huā ḳhālī
baaqī thā magar us meñ abhī tīr-e-qazā aur
har ḳhaar rah-e-dasht-e-vatan kā hai savālī
kab dekhiye aatā hai koī ābla-pā aur
aane meñ ta.ammul thā agar roz-e-jazā ko
achchhā thā Thahar jaate agar tum bhī zarā aur
lo tum bhi gae hum ne to samjha tha ki tum ne
bandha tha koi yaron se paiman-e-wafa aur
ye ahd ki ta-umr rawan sath rahoge
raste mein bichhaD jaenge jab ahl-e-safa aur
hum samjhe the sayyaad ka tarkash hua KHali
baqi tha magar us mein abhi tir-e-qaza aur
har KHar rah-e-dasht-e-watan ka hai sawali
kab dekhiye aata hai koi aabla-pa aur
aane mein tammul tha agar roz-e-jaza ko
achchha tha Thahar jate agar tum bhi zara aur
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 697)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.