ek luḌhkī huī vaadī meñ
bahut nīche ḳhalāoñ se
jahāñ dhundlī fazāoñ kā chalan hai
ḳhasta sā ek makāñ mujh ko virāsat meñ milā hai
jis tarah suukh ke zaḳhmoñ se girā kartī hai papḌī
us kī dīvāroñ se is tarah se girtā hai plastar
ek paañv pe khaḌe saare sutūñ thak se ga.e haiñ
ḳhurda dāñtoñ kī tarah hiltī haiñ har taaq meñ īñTeñ
moch khaa.ī huī kuchh khiḌkiyāñ tirchhī sī khaḌī haiñ
kāñch dhundlā.e hue chaTḳhe hue
pahle bāhar kī taraf khultī thiiñ aflāk kī jānib
ab ye andar bhī nahīñ khultīñ agar saañs ghuTe
abr-ālūd haiñ ab
aur havāoñ meñ bhī sūrāḳh paḌe haiñ
merā paidā.eshī ghar hai mujhe rahnā hai yahīñ par
ek mailā sā falak hai to mire sar pe abhī tak
Dartā huuñ gir na paḌe sote meñ ek roz kahīñ
ek luDhki hui wadi mein
bahut niche KHalaon se
jahan dhundli fazaon ka chalan hai
KHasta sa ek makan mujh ko wirasat mein mila hai
jis tarah sukh ke zaKHmon se gira karti hai papDi
us ki diwaron se is tarah se girta hai plastar
ek panw pe khaDe sare sutun thak se gae hain
KHurda danton ki tarah hilti hain har taq mein inTen
moch khai hui kuchh khiDkiyan tirchhi si khaDi hain
kanch dhundlae hue chaTKHe hue
pahle bahar ki taraf khulti thin aflak ki jaanib
ab ye andar bhi nahin khultin agar sans ghuTe
abr-alud hain ab
aur hawaon mein bhi suraKH paDe hain
mera paidaeshi ghar hai mujhe rahna hai yahin par
ek maila sa falak hai to mere sar pe abhi tak
Darta hun gir na paDe sote mein ek roz kahin
- Book : Chand Pukhraj Ka (Pg. 36)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa And Company (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.