makan-o-zaman
mire saath chaltī hai tanhā.ī bhī tīrgī bhī
maiñ phailā huā huuñ yahāñ se vahāñ tak
ḳhalā se ḳhalā tak
ḳhalā jo añdherā hai tanhā.iyoñ kā
ḳhalā jo baserā hai gahrā.iyoñ kā
ḳhalā merā sāthī
ḳhalā merā partav
ḳhalā merā saaya
ḳhalā dūsrā ruḳh hai merī jihat kā
ki maiñ vaqt huuñ
aur vaqt lā-intihā hai
ḳhalāoñ kī mānind
na.ī samt huuñ maiñ vajūd-o-adam kī
mujhe lamhoñ sadiyoñ dinoñ meñ na bāñTo
mujhe fāsloñ se na naapo
mujhe apnī raftār meñ qaid kar lo
mere sath chalti hai tanhai bhi tirgi bhi
main phaila hua hun yahan se wahan tak
KHala se KHala tak
KHala jo andhera hai tanhaiyon ka
KHala jo basera hai gahraiyon ka
KHala mera sathi
KHala mera partaw
KHala mera saya
KHala dusra ruKH hai meri jihat ka
ki main waqt hun
aur waqt la-intiha hai
KHalaon ki manind
nai samt hun main wajud-o-adam ki
mujhe lamhon sadiyon dinon mein na banTo
mujhe faslon se na napo
mujhe apni raftar mein qaid kar lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.