maKHdum marhum
ab vo āvāz nahīñ aa.egī
jis ke har loch meñ añgḌā.ī thī
jis ke har bol meñ shahnā.ī thī
dard thā jis meñ mohabbat thī fusūñ-kārī thī
har rag-e-mulk meñ jo saarī thī
zindagī us ko kahāñ pā.egī
ab vo āvāz nahīñ aa.egī
kabhī ik mard-e-siyāsat vo kabhī ik shā.ir
naġhma-e-zīst sunātā hī rahā
parcham-e-ishq uḌātā hī rahā
ek sho.ala thā ki har bazm kā sayyāra thā
nuur hī nuur
dard ke shahr meñ āvāra thā
kabhī ḳhud ek shikārī vo kabhī ik taa.ir
kabhī ik mard-e-siyāsat vo kabhī ik shā.ir
bharī barsāt se khelā barsoñ
marmarīñ jism kabhī chāñdī raat
husn kī baat thī us kī har baat
qissa-e-bhāg-matī soz se ma.amūr kiyā
soz hī soz
sāz-o-āhañg se mas.hūr kiyā
dard ko jaan pe jhelā barsoñ
bharī barsāt se khelā barsoñ
ḳhidmat-e-ahl-e-vatan kar ke banā thā maḳhdūm
us kī har lai pe sitāre raqsāñ
Hyderabad ke pyāre raqsāñ
mard-e-āhan thā aqīde kā jo pāband rahā
jañg hī jañg
jañg-jū ho ke bhī ḳhursand rahā
haa.e afsos ki hai ab vo mujāhid marhūm
ḳhidmat-e-ahl-e-vatan kar ke banā thā maḳhdūm
ab wo aawaz nahin aaegi
jis ke har loch mein angDai thi
jis ke har bol mein shahnai thi
dard tha jis mein mohabbat thi fusun-kari thi
har rag-e-mulk mein jo sari thi
zindagi us ko kahan paegi
ab wo aawaz nahin aaegi
kabhi ek mard-e-siyasat wo kabhi ek shair
naghma-e-zist sunata hi raha
parcham-e-ishq uData hi raha
ek shoala tha ki har bazm ka sayyara tha
nur hi nur
dard ke shahr mein aawara tha
kabhi KHud ek shikari wo kabhi ek tair
kabhi ek mard-e-siyasat wo kabhi ek shair
bhari barsat se khela barson
marmarin jism kabhi chandi raat
husn ki baat thi us ki har baat
qissa-e-bhag-mati soz se mamur kiya
soz hi soz
saz-o-ahang se mashur kiya
dard ko jaan pe jhela barson
bhari barsat se khela barson
KHidmat-e-ahl-e-watan kar ke bana tha maKHdum
us ki har lai pe sitare raqsan
Hyderabad ke pyare raqsan
mard-e-ahan tha aqide ka jo paband raha
jang hi jang
jang-ju ho ke bhi KHursand raha
hae afsos ki hai ab wo mujahid marhum
KHidmat-e-ahl-e-watan kar ke bana tha maKHdum
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 378)
- Author : Arsh Malsiyani
- Publication : Ali Imran Chaudhary
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.