mamta
maañ jaisī koī sūrat duniyā meñ hai na hogī
mamtā kī koī qīmat duniyā meñ hai na hogī
aulād ke liye jo laḌ jaa.e āñdhiyoñ se
auroñ meñ itnī himmat duniyā meñ hai na hogī
har-pal guzārtī ye aulād ke liye hai
aisī kisī kī fitrat duniyā meñ hai na hogī
bhūkā vo ḳhud ko rakh ke aulād ko khilā.e
maañ jaisī nek sīrat duniyā meñ hai na hogī
bachchoñ ke aage ḳhud ko us ne miTā diyā hai
is se aziim aurat duniyā meñ hai na hogī
har shai hai hech 'nīlam' maañ kī taḌap ke aage
maañ jaisī pyārī mūrat duniyā meñ hai na hogī
man jaisi koi surat duniya mein hai na hogi
mamta ki koi qimat duniya mein hai na hogi
aulad ke liye jo laD jae aandhiyon se
auron mein itni himmat duniya mein hai na hogi
har-pal guzarti ye aulad ke liye hai
aisi kisi ki fitrat duniya mein hai na hogi
bhuka wo KHud ko rakh ke aulad ko khilae
man jaisi nek sirat duniya mein hai na hogi
bachchon ke aage KHud ko us ne miTa diya hai
is se azim aurat duniya mein hai na hogi
har shai hai hech 'nilam' man ki taDap ke aage
man jaisi pyari murat duniya mein hai na hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.