Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

man ka mit

MORE BYShree Amar Amritsari

    man miit milā de

    sajnī man miit milā de

    jis bin chain na mohe aa.e

    pal chhan jis yaad satā.e

    kahāñ hai vo batlā de

    sajnī man miit milā de

    dil ko mere khone vaalī

    pyārī man ko mohne vaalī

    sundar chhab dikhlā de

    sajnī man miit milā de

    us bin suunā hai jag saarā

    merā man har prītam pyārā

    ruuTh gayā hai manā de

    sajnī man miit milā de

    merā hirdai jis mandar

    yaad hai jis dil ke andar

    us darshan karā de

    sajnī man miit milā de

    nainoñ se nij nain milā kar

    nainoñ meñ bas jaa.e aakar

    so.e bhaag jagā de

    sajnī man miit milā de

    jis se khiñch kar aa.e bālam

    aa mujh ko apnā.e bālam

    aisā mantr sikhā de

    sajnī man miit milā de

    huuñ maiñ aas lagā.e baiThī

    nainan diip jalā.e baiThī

    shubh sandesh sunā de

    sajnī man miit milā de

    man ka mit mila de

    sajni man ka mit mila de

    jis bin chain na mohe aae

    pal chhan jis ki yaad satae

    kahan hai wo batla de

    sajni man ka mit mila de

    dil ko mere khone wali

    pyari man ko mohne wali

    sundar chhab dikhla de

    sajni man ka mit mila de

    us bin suna hai jag sara

    mera man har pritam pyara

    ruTh gaya hai mana de

    sajni man ka mit mila de

    mera hirdai jis ka mandar

    yaad hai jis ki dil ke andar

    us ka darshan kara de

    sajni man ka mit mila de

    nainon se nij nain mila kar

    nainon mein bas jae aakar

    soe bhag jaga de

    sajni man ka mit mila de

    jis se khinch kar aae baalam

    aa mujh ko apnae baalam

    aisa mantr sikha de

    sajni man ka mit mila de

    hun main aas lagae baiThi

    nainan dip jalae baiThi

    shubh sandesh suna de

    sajni man ka mit mila de

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now