man ki baat
kal maiñ ne panghaT par dekhā
ik pinhāran bholī-bhālī
pyāsī miTTī kī gāgar meñ
paanī bhar ke baiTh ga.ī thī
baiTh ga.ī thī peḌ ke nīche
jaane vo kyā soch rahī thī
itne meñ qamrī kā joḌā
peḌ pe aayā dhuum machāyā
koyal kuukī
mor bhī nāchā
ban ka TuuT gayā sannāTā
rim-jhim jal barsā.e
tab jā kar allaḌh doshīza
jo sapnoñ se khel rahī thī
niiñd se jaagī
aur muskā.ī
gāgar apne sar par rakhā
ik halkī sī taan uḌaa.ī
mujh ko dekhā aur sharmā.ī
kal main ne panghaT par dekha
ek pinhaaran bholi-bhaali
pyasi miTTi ki gagar mein
pani bhar ke baiTh gai thi
baiTh gai thi peD ke niche
jaane wo kya soch rahi thi
itne mein qamri ka joDa
peD pe aaya dhum machaya
koyal kuki
mor bhi nacha
ban ka TuT gaya sannaTa
rim-jhim jal barsae
tab ja kar allaDh doshiza
jo sapnon se khel rahi thi
nind se jagi
aur muskai
gagar apne sar par rakha
ek halki si tan uDai
mujh ko dekha aur sharmai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.