man mein KHushbu
Interesting Fact
(Funun, Lahore, June 1973)
kaan meñ baalā
aur gale meñ
ek achhūtī zard basantī maalā
nainan meñ ik jot anokhī
maiñ huuñ sajnī apne piyā kī
(2)
vo to merā ik ik aañsū pyaar se
poñchhā kartā hai
bansī giit sunātā hai
haath pakaḌ ke merā vo to
bādal bādal phirtā hai
tum to mujh se har-dam har pal milne
se katrāte ho
baat adhūrī sunte ho
ḳhud meñ uljhe rahte ho
merā pītam aisā kab hai
jaise tum ho
kan mein baala
aur gale mein
ek achhuti zard basanti mala
nainan mein ek jot anokhi
main hun sajni apne piya ki
(2)
wo to mera ek ek aansu pyar se
ponchha karta hai
bansi git sunata hai
hath pakaD ke mera wo to
baadal baadal phirta hai
tum to mujh se har-dam har pal milne
se katraate ho
baat adhuri sunte ho
KHud mein uljhe rahte ho
mera pitam aisa kab hai
jaise tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.