man o tu
kitnī ūñchī uThā dī hai hijr kī sañgīn dīvār tū ne
lambī bahut lambī mashriqain se maġhribain tak
koī rauzan hai na darvāza is meñ
lagtā hai apne mo.ajiz-numā hāthoñ se banā.ī hai ḳhud tū ne
bilkul terī tarah or hai na chhor is kā
da.avā to kartā hai ki nazdīk-tar hai tū merī shah-rag se bhī
aur phir judā.ī ke ye saare jatan
terā merā rishta bhī azal se ajiib hai
tū hai nazar se ojhal tū hī qarīb hai
tū hī mirā habīb hai tū hī raqīb hai
to raat banātā hai maiñ charāġh jalātā aayā huuñ
hamāre darmiyān khiñchī dīvār meñ koī khiḌkī na rakkhī thī tū ne
dekh maiñ ne khiḌkiyoñ kī jagah jaḌī haiñ is meñ apnī āñkheñ
nigār-ḳhāna banā dayā hai maiñ ne andhī dīvār ko
is ke ek ek patthar ko raushan kar Daalā hai apnī āñkhoñ ke nuur se
aur har patthar par likh diyā hai terā naam maiñ ne
magar koī ek naam thoḌī hai terā
is liye har patthar par ek nayā naam likhā hai terā
vaise bhī mere liye tū hī to hai mere ḳhāliq
añdherā bhī hai tū ujālā bhī tū hai
agar rañg hai tū to ḳhushbū bhī tū hai
kāñTā hai tū gar to tū hai gulāb
ummīd bhī tū merī yaas bhī tū
saaqī bhī tū hai mirī pyaas bhī tū
mirā dard hai gar to hai chārāgar bhī
mirī maut hai tū masīhā bhī tū hai
sabhī kuchh hai tū aur tū hī hai sab kuchh
tire kaam saare tire naam saare
maiñ kuchh bhī nahīñ huuñ tirā kaam huuñ ik
maiñ kuchh bhī nahīñ huuñ tirā naam huuñ ik
kitni unchi uTha di hai hijr ki sangin diwar tu ne
lambi bahut lambi mashriqain se maghribain tak
koi rauzan hai na darwaza is mein
lagta hai apne moajiz-numa hathon se banai hai KHud tu ne
bilkul teri tarah or hai na chhor is ka
dawa to karta hai ki nazdik-tar hai tu meri shah-rag se bhi
aur phir judai ke ye sare jatan
tera mera rishta bhi azal se ajib hai
tu hai nazar se ojhal tu hi qarib hai
tu hi mera habib hai tu hi raqib hai
to raat banata hai main charagh jalata aaya hun
hamare darmiyan khinchi diwar mein koi khiDki na rakkhi thi tu ne
dekh main ne khiDkiyon ki jagah jaDi hain is mein apni aankhen
nigar-KHana bana daya hai main ne andhi diwar ko
is ke ek ek patthar ko raushan kar Dala hai apni aankhon ke nur se
aur har patthar par likh diya hai tera nam main ne
magar koi ek nam thoDi hai tera
is liye har patthar par ek naya nam likha hai tera
waise bhi mere liye tu hi to hai mere KHaliq
andhera bhi hai tu ujala bhi tu hai
agar rang hai tu to KHushbu bhi tu hai
kanTa hai tu gar to tu hai gulab
ummid bhi tu meri yas bhi tu
saqi bhi tu hai meri pyas bhi tu
mera dard hai gar to hai chaaragar bhi
meri maut hai tu masiha bhi tu hai
sabhi kuchh hai tu aur tu hi hai sab kuchh
tere kaam sare tere nam sare
main kuchh bhi nahin hun tera kaam hun ek
main kuchh bhi nahin hun tera nam hun ek
- Book : din kaa phool (Pg. 124)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.