man-tu-shudam
jañgal meñ agar tum ne dekhā ho, hiran hote haiñ
hiran kī sunahrī khaal aur hindū laḌkiyoñ jaisī gahrī āñkheñ
an-dekhe shikārī kā pheñkā huā ek tiir
marte hue hiran kī āñkheñ bāteñ kartī haiñ
ye jaane baġhair ki shikārī kaun thā
ḳhair shikār aur shikārī meñ koī farq nahīñ
ek tiir chalātā hai
dūsre kī āñkheñ bāteñ kartī haiñ
jangal mein agar tum ne dekha ho, hiran hote hain
hiran ki sunahri khaal aur hindu laDkiyon jaisi gahri aankhen
an-dekhe shikari ka phenka hua ek tir
marte hue hiran ki aankhen baaten karti hain
ye jaane baghair ki shikari kaun tha
KHair shikar aur shikari mein koi farq nahin
ek tir chalata hai
dusre ki aankhen baaten karti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.