manazir-e-sahar
kyā rūh-fazā jalva-e-ruḳhsār-e-sahar hai
kashmīr dil-e-zār hai firdaus-e-nazar hai
har phuul kā chehra araq-e-husn se tar hai
har chiiz meñ ik baat hai har shai meñ asar hai
har samt bhaḌaktā hai ruḳh-e-hūr kā sho.ala
har zarra-e-nāchīz meñ hai tuur kā sho.ala
larzish vo sitāroñ kī vo zarroñ kā tabassum
chashmoñ kā vo bahnā ki fidā jin pe tarannum
gardūñ pe sapedī-o-siyāhī kā tasādum
tūfān vo jalvoñ kā vo naġhmoñ kā talātum
uḌte hue gesū vo nasīm-e-saharī ke
shānoñ pe pareshān haiñ yā baal parī ke
vo phailnā ḳhushbū kā vo kaliyoñ kā chaTaknā
vo chāñdnī maddham vo samundar kā jhalaknā
vo chhāñv meñ tāroñ kī gul-e-tar kā mahaknā
vo jhūmnā sabze kā vo khetoñ kā lahaknā
shāḳhoñ se milī jaatī haiñ shāḳheñ vo asar hai
kahtī hai nasīm-e-saharī īd-e-sahar hai
ḳhunkī vo bayābāñ kī vo rañgīni-e-sahrā
vo vādī-e-sarsabz vo tālāb-e-musaffā
peshāni-e-gardūñ pe vo hañstā huā taarā
vo rāste jañgal ke vo bahtā huā dariyā
har samt gulistāñ meñ vo ambār guloñ ke
shabnam se vo dho.e hue ruḳhsār guloñ ke
vo ruuh meñ anvār-e-ḳhudā sub.h vo sādiq
vo husn jise dekh ke har aañkh ho āshiq
vo sādgī insān kī fitrat ke mutābiq
zarrīñ vo ufuq nuur se labrez vo mashriq
vo naġhma-e-dā.ūd parindoñ kī sadā meñ
pairāhan-e-yūsuf kī vo tāsīr havā meñ
vo barg-e-gul-e-tāza vo shabnam kī latāfat
ik husn se vo ḳhanda-e-sāmān-e-haqīqat
vo jalva-e-asnām vo but-ḳhāne kī zīnat
zāhid kā vo manzar vo barhaman kī sabāhat
nāqūs ke siine se sadā.eñ vo fuġhāñ kī
vo hamd meñ Duubī huī āvāz azaañ kī
aaqā kā ġhulāmoñ se ye hai qurb kā hañgām
dil hote haiñ sarshār fanā hote haiñ ālām
chhā jaatī hai rahmat to baras paḌte haiñ in.aam
is vaqt kisī tarah munāsib nahīñ ārām
rone meñ jo lazzat hai to aahoñ meñ mazā hai
ai ruuh ḳhudī chhoḌ ki nazdīk ḳhudā hai
kya ruh-faza jalwa-e-ruKHsar-e-sahar hai
kashmir dil-e-zar hai firdaus-e-nazar hai
har phul ka chehra araq-e-husn se tar hai
har chiz mein ek baat hai har shai mein asar hai
har samt bhaDakta hai ruKH-e-hur ka shoala
har zarra-e-nachiz mein hai tur ka shoala
larzish wo sitaron ki wo zarron ka tabassum
chashmon ka wo bahna ki fida jin pe tarannum
gardun pe sapedi-o-siyahi ka tasadum
tufan wo jalwon ka wo naghmon ka talatum
uDte hue gesu wo nasim-e-sahari ke
shanon pe pareshan hain ya baal pari ke
wo phailna KHushbu ka wo kaliyon ka chaTakna
wo chandni maddham wo samundar ka jhalakna
wo chhanw mein taron ki gul-e-tar ka mahakna
wo jhumna sabze ka wo kheton ka lahakna
shaKHon se mili jati hain shaKHen wo asar hai
kahti hai nasim-e-sahari id-e-sahar hai
KHunki wo bayaban ki wo rangini-e-sahra
wo wadi-e-sarsabz wo talab-e-musaffa
peshani-e-gardun pe wo hansta hua tara
wo raste jangal ke wo bahta hua dariya
har samt gulistan mein wo ambar gulon ke
shabnam se wo dhoe hue ruKHsar gulon ke
wo ruh mein anwar-e-KHuda subh wo sadiq
wo husn jise dekh ke har aankh ho aashiq
wo sadgi insan ki fitrat ke mutabiq
zarrin wo ufuq nur se labrez wo mashriq
wo naghma-e-daud parindon ki sada mein
pairahan-e-yusuf ki wo tasir hawa mein
wo barg-e-gul-e-taza wo shabnam ki latafat
ek husn se wo KHanda-e-saman-e-haqiqat
wo jalwa-e-asnam wo but-KHane ki zinat
zahid ka wo manzar wo barhaman ki sabahat
naqus ke sine se sadaen wo fughan ki
wo hamd mein Dubi hui aawaz azan ki
aaqa ka ghulamon se ye hai qurb ka hangam
dil hote hain sarshaar fana hote hain aalam
chha jati hai rahmat to baras paDte hain inam
is waqt kisi tarah munasib nahin aaram
rone mein jo lazzat hai to aahon mein maza hai
ai ruh KHudi chhoD ki nazdik KHuda hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.