mandir masjid
merā bhārat kitnā pyārā
dilkash lagtā bhā.ī-chāra
hindū muslim sikh īsā.ī
aapas meñ haiñ bhaa.ī bhaa.ī
lohḌī aur basant manā.eñ
aag jalā.eñ phuul khilā.eñ
laaT yahāñ hai taaj yahāñ hai
achchhā ek samāj yahāñ hai
haath haiñ apne taalī apnī
holī aur dīvālī apnī
jo kuchh kahtī ham se azaañ hai
ghanTī kī bhī vahī zabāñ hai
dīvālī par diip jalāte
mil kar sab haiñ iid manāte
iid yahāñ hotī hai har dam
ḳhushiyoñ kī bārish hai chham-chham
har tyauhār hai sab kā apnā
sach hai ye to nahīñ hai sapnā
aao mil kar dhuum machā.eñ
apne desh ko mil ke sajā.eñ
mera bhaarat kitna pyara
dilkash lagta bhai-chaara
hindu muslim sikh isai
aapas mein hain bhai bhai
lohDi aur basant manaen
aag jalaen phul khilaen
laT yahan hai taj yahan hai
achchha ek samaj yahan hai
hath hain apne tali apni
holi aur diwali apni
jo kuchh kahti hum se azan hai
ghanTi ki bhi wahi zaban hai
diwali par dip jalate
mil kar sab hain id manate
id yahan hoti hai har dam
KHushiyon ki barish hai chham-chham
har tyauhaar hai sab ka apna
sach hai ye to nahin hai sapna
aao mil kar dhum machaen
apne desh ko mil ke sajaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.