mankuha
abhī vo uThegī
sone vāloñ pe ik uchaTtī nigāh Dālegī
bikhre bāloñ ko kas ke juuḌe meñ bāñdh legī
libās kī silvaToñ ko jhaTkegī
jāne-pahchāne āsanoñ se badan ko bedār kar ke
ghar ke darāz-qad aa.ine meñ
apnā sarāpā dekhegī
muskurā.egī
balcony se sub.h dekhegī
sar dupaTTe se Dhak ke
phir vo azaañ sunegī
nahāegī paak saaf ho ke
namāz kī kaifiyat meñ Dūbegī
der tak apne rab kī hamd-o-sanā karegī
kitchen meñ jā.egī
mez par nāshta lagā.egī
thoḌā thoḌā sā sab ke hisse kā pyaar bāñTegī
sab ko ruḳhsat karegī
rishtoñ ke phuul de kar
mirī hathelī pe jaate jaate
alaav rakh degī ghar kī jaltī zarūratoñ ke
kasīlī kaḌvī rafāqatoñ ke
abhi wo uThegi
sone walon pe ek uchaTti nigah Dalegi
bikhre baalon ko kas ke juDe mein bandh legi
libas ki silwaTon ko jhaTkegi
jaane-pahchane aasanon se badan ko bedar kar ke
ghar ke daraaz-qad aaine mein
apna sarapa dekhegi
muskuraegi
balcony se subh dekhegi
sar dupaTTe se Dhak ke
phir wo azan sunegi
nahaegi pak saf ho ke
namaz ki kaifiyat mein Dubegi
der tak apne rab ki hamd-o-sana karegi
kitchen mein jaegi
mez par nashta lagaegi
thoDa thoDa sa sab ke hisse ka pyar banTegi
sab ko ruKHsat karegi
rishton ke phul de kar
meri hatheli pe jate jate
alaw rakh degi ghar ki jalti zaruraton ke
kasili kaDwi rafaqaton ke
- Book : Sang-ge-Sada (Pg. 139)
- Author : Zubair Razvi
- Publication : Zehne Jadid, New Delhi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.