manTo
Daalī Daalī hai yaas kā mausam
ahl-e-urdu kī chashm pur-nam hai
nabz-e-getī ravāñ hai ruk ruk kar
kitnā ḳhamosh saarā aalam hai
krishn bedī asar kiran Thākur
be-tahāsha hī ro diye haiñ aaj
jaise har ik ne apne sarmā.e
bahr-e-ġham meñ Dubo diye haiñ aaj
sīna-e-arz meñ shigāf huā
lau charāġhoñ kī kyoñ bhaTaktī hai
sū-e-madfan pe kaun aatā hai
chashm-e-hairāñ se qabr taktī hai
haar TuuTā urūs-e-hastī kā
nausha-e-zindagī kahāñ hai aaj
vo ki bām-e-adab kī zīnat thā
vo daraḳhshāñ qamar kahāñ hai aaj
ek jarrāh thā ki jo na rahā
vo ki nashtar hī thā qalam jis kā
saaz urdu kā kaun chheḌegā
jis kā manTo hī ek mutrib thā
Dali Dali hai yas ka mausam
ahl-e-urdu ki chashm pur-nam hai
nabz-e-geti rawan hai ruk ruk kar
kitna KHamosh sara aalam hai
krishn bedi asar kiran Thakur
be-tahasha hi ro diye hain aaj
jaise har ek ne apne sarmae
bahr-e-gham mein Dubo diye hain aaj
sina-e-arz mein shigaf hua
lau charaghon ki kyon bhaTakti hai
su-e-madfan pe kaun aata hai
chashm-e-hairan se qabr takti hai
haar TuTa urus-e-hasti ka
nausha-e-zindagi kahan hai aaj
wo ki baam-e-adab ki zinat tha
wo daraKHshan qamar kahan hai aaj
ek jarrah tha ki jo na raha
wo ki nashtar hi tha qalam jis ka
saz urdu ka kaun chheDega
jis ka manTo hi ek mutrib tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.