manzar
āsmāñ aaj ik bahr-e-pur-shor hai
jis meñ har-sū ravāñ bādaloñ ke jahāz
un ke arshe pe kirnoñ ke mastūl haiñ
bādbānoñ kī pahne hue farġhaleñ
niil meñ gumbadoñ ke jazīre ka.ī
ek baazī meñ masrūf hai har koī
vo abābīl koī nahātī huī
koī chiil ġhote meñ jaatī huī
koī tāqat nahīñ is meñ zor-āzmā
koī beḌā nahīñ hai kisī mulk kā
is kī tah meñ koī ābdozeñ nahīñ
koī rocket nahīñ koī topeñ nahīñ
yuuñ to saare anāsir haiñ yaañ zor meñ
amn kitnā hai is bahr-e-pur-shor meñ
aasman aaj ek bahr-e-pur-shor hai
jis mein har-su rawan baadalon ke jahaz
un ke arshe pe kirnon ke mastul hain
baadbanon ki pahne hue farghalen
nil mein gumbadon ke jazire kai
ek bazi mein masruf hai har koi
wo ababil koi nahati hui
koi chil ghote mein jati hui
koi taqat nahin is mein zor-azma
koi beDa nahin hai kisi mulk ka
is ki tah mein koi aabdozen nahin
koi rocket nahin koi topen nahin
yun to sare anasir hain yan zor mein
amn kitna hai is bahr-e-pur-shor mein
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 625)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.