manzar
saarā manzar paanī meñ Duubā huā
ek chhoTī sī nahr ban gayā hai
sab log kohre se Dhake
aur dhuup ke bistar se bañdhe
muntazir haiñ
ki koī āvāz uupar se utre
aur unheñ sabt kar de
ek aisī samt ke manzar meñ
ki agar vo apne gharoñ ko Dūbte dekheñ
to der tak hañste raheñ
ro bhī sakeñ
lekin sukūn kī pad-chāpeñ
apne asā meñ saarī samtoñ ko piro.e
dhīre dhīre sīḌhiyāñ chaḌh rahī haiñ
ghar paanī se abhī talak bharā huā hai
sara manzar pani mein Duba hua
ek chhoTi si nahr ban gaya hai
sab log kohre se Dhake
aur dhup ke bistar se bandhe
muntazir hain
ki koi aawaz upar se utre
aur unhen sabt kar de
ek aisi samt ke manzar mein
ki agar wo apne gharon ko Dubte dekhen
to der tak hanste rahen
ro bhi saken
lekin sukun ki pad-chapen
apne asa mein sari samton ko piroe
dhire dhire siDhiyan chaDh rahi hain
ghar pani se abhi talak bhara hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.