vo jis maqām pe kal the usī pe aaj haiñ ham
mire habībo javāñ-rāt kis qadar thī hasīñ
ye mere naqsh-e-qadam merī raah mere safar
mire ḳhayāl mirī justujū mirī hasrat
mirī umiid ko hai ilm aur kisī ko nahīñ
mire ḳhayāl se ḳhāmosh sahme sahme shajar
jo mujh ko takte the hairat se un ko bhī shāyad
javān raat ke joban kā ho koī ehsās
magar ye raat bhī ik ḳhvāb ban ke TuuT ga.ī
tamām raat rahī ye nigāh garm-e-safar
tamām raat sitāroñ ko mil sakā na sukūñ
tamām raat qadam fāsloñ se milte rahe
kahāñ kahāñ se maiñ guzrā nahīñ kuchh is kī ḳhabar
kabhī yaqīn ki vo vādī-e-sukūñ hai qarīb
kabhī ḳhayāl ki is raat kī sahar hī nahīñ
magar vo ālam-e-shab bhī guzar gayā āḳhir
milī na jab koī manzil to ho ga.e bezār
sitāre aur nigāhoñ se mere kaTne lage
jab āftāb ne dekhā mujhe to mere qadam
usī maqām pe the jis se shab ke saaya meñ
mire safar kī huī thī kal ibtidā mujh se
mire habībo hamārā ye mai-kada shāyad
hamāre fikr-o-amal kā ik aisā markaz hai
ki ham kahīñ bhī hoñ is se judā nahīñ hoñge
kabhī kabhī to ye lagtā hai TuuT jā.egā dil
ye justujū-e-musalsal ye zulmateñ ye safar
hamāre zehn meñ jo hai vo is jahāñ meñ nahīñ
agar yahī hai haqīqat to kyoñ na dil rakkheñ
ye mai-kada hai to raḳht-e-safar bahut ya.anī
kabhī to aisā maqām aa hī jā.egā āḳhir
jahāñ ye kah de taḳhayyul kamāl hai to yahāñ
rahe ḳhayāl irāde raheñ javāñ apne
zarā pukārnā saaqī ko hai kahāñ masrūf
mire ḳhayāl se ik daur aur ho jaa.e
wo jis maqam pe kal the usi pe aaj hain hum
mere habibo jawan-raat kis qadar thi hasin
ye mere naqsh-e-qadam meri rah mere safar
mere KHayal meri justuju meri hasrat
meri umid ko hai ilm aur kisi ko nahin
mere KHayal se KHamosh sahme sahme shajar
jo mujh ko takte the hairat se un ko bhi shayad
jawan raat ke joban ka ho koi ehsas
magar ye raat bhi ek KHwab ban ke TuT gai
tamam raat rahi ye nigah garm-e-safar
tamam raat sitaron ko mil saka na sukun
tamam raat qadam faslon se milte rahe
kahan kahan se main guzra nahin kuchh is ki KHabar
kabhi yaqin ki wo wadi-e-sukun hai qarib
kabhi KHayal ki is raat ki sahar hi nahin
magar wo aalam-e-shab bhi guzar gaya aaKHir
mili na jab koi manzil to ho gae bezar
sitare aur nigahon se mere kaTne lage
jab aaftab ne dekha mujhe to mere qadam
usi maqam pe the jis se shab ke saya mein
mere safar ki hui thi kal ibtida mujh se
mere habibo hamara ye mai-kada shayad
hamare fikr-o-amal ka ek aisa markaz hai
ki hum kahin bhi hon is se juda nahin honge
kabhi kabhi to ye lagta hai TuT jaega dil
ye justuju-e-musalsal ye zulmaten ye safar
hamare zehn mein jo hai wo is jahan mein nahin
agar yahi hai haqiqat to kyon na dil rakkhen
ye mai-kada hai to raKHt-e-safar bahut yani
kabhi to aisa maqam aa hi jaega aaKHir
jahan ye kah de taKHayyul kamal hai to yahan
rahe KHayal irade rahen jawan apne
zara pukarna saqi ko hai kahan masruf
mere KHayal se ek daur aur ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.