maqam-e-aKHir-e-shab
tujhe hai shikva ki shahr-e-nigār chhoḌ ke maiñ
nashāt-e-shām-e-tarab kī bahār chhoḌ ke maiñ
na jaane kaun sī bastī meñ jā basā huuñ aaj
na.ī hayāt ke be-rang dā.eroñ kī qasam
na koī dost na koī rafīq-e-manzil-e-ġham
hayāt-o-maut ke do-rāhe par khaḌā huuñ aaj
mirī hayāt hai ḳhud ek be-karāñ sahrā
na jis meñ sāya-e-gul hai na jis meñ raqs-e-sabā
na tere jism kī ḳhushbū na pairahan kī damak
na chūḌiyoñ ke chhanāke na qahqahoñ kī khanak
na āñchaloñ kī bahāreñ na ārizoñ ke sharār
na tere sīna-e-nauras ke zer-o-bam kā ḳhumār
na zikr-e-surḳhī-e-lab aur na terī chashm kī baat
tirī jabīñ kā ujālā na terī zulf kī raat
qadam qadam pe bagūle ravish ravish pe babūl
nazar nazar se ulajhte hue ye vīrāne
hazār sadiyoñ kī afsurdagī sameTe hue
har ek zarre meñ pinhāñ haiñ laakh afsāne
na jaane kitnī pur-armān dulhanoñ ke ḳhvāb
lahū meñ role ga.e ḳhaak meñ milā.e ga.e
na jaane azmat-e-ādam ke kis qadar mahtāb
qafas kī zulmat-e-shab-tāb meñ chhupā.e ga.e
na jaane kitne shahoñ ne ba-nām-e-lutf-o-karam
mahaktī kaliyoñ se apne haram sajā.e haiñ
na jaane kitne shahoñ ne ba-faiz-e-jabr-o-sitam
gudāz-jism javāñ-e-lab yahāñ churā.e haiñ
na jaane kitnī nigāhoñ se nuur chhīnā gayā
dayār-e-dard ke mahloñ kī raushnī ke liye
na jaane kitne diloñ se lahū nichoḌā gayā
na.e ḳhudāoñ ke chehroñ kī tāzgī ke liye
na jaane kitne gharoñ ke diye bujhā.e ga.e
shaboñ ke rāj-dulāroñ kī zindagī ke liye
dayār-e-sabza-o-naġhma se duur sahrā meñ
maiñ chun rahā huuñ vo anmol āñsuoñ ke phuul
jinheñ bahār ne Thukrā diyā hiqārat se
jinheñ ḳhizāoñ kā dāman bhī kar sakā na qubūl
Tapak ke aañkh se jo kho ga.e añdheroñ meñ
in āñsuoñ se jalā.eñge zindagī ke charāġh
ubal paḌeñgī jabīnoñ se nuur kī kirneñ
sulag uTheñgī umañgeñ dahak uTheñge dimāġh
na.ī hayāt ke be-rang dā.eroñ kī qasam
uThā ke sub.h-e-tamannā ke zarfishāñ-parcham
maqām-e-āḳhir-e-shab se guzar rahe haiñ aaj
tujhe hai shikwa ki shahr-e-nigar chhoD ke main
nashat-e-sham-e-tarab ki bahaar chhoD ke main
na jaane kaun si basti mein ja basa hun aaj
nai hayat ke be-rang daeron ki qasam
na koi dost na koi rafiq-e-manzil-e-gham
hayat-o-maut ke do-rahe par khaDa hun aaj
meri hayat hai KHud ek be-karan sahra
na jis mein saya-e-gul hai na jis mein raqs-e-saba
na tere jism ki KHushbu na pairahan ki damak
na chuDiyon ke chhanake na qahqahon ki khanak
na aanchalon ki bahaaren na aarizon ke sharar
na tere sina-e-nauras ke zer-o-bam ka KHumar
na zikr-e-surKHi-e-lab aur na teri chashm ki baat
teri jabin ka ujala na teri zulf ki raat
qadam qadam pe bagule rawish rawish pe babul
nazar nazar se ulajhte hue ye virane
hazar sadiyon ki afsurdagi sameTe hue
har ek zarre mein pinhan hain lakh afsane
na jaane kitni pur-arman dulhanon ke KHwab
lahu mein role gae KHak mein milae gae
na jaane azmat-e-adam ke kis qadar mahtab
qafas ki zulmat-e-shab-tab mein chhupae gae
na jaane kitne shahon ne ba-nam-e-lutf-o-karam
mahakti kaliyon se apne haram sajae hain
na jaane kitne shahon ne ba-faiz-e-jabr-o-sitam
gudaz-jism jawan-e-lab yahan churae hain
na jaane kitni nigahon se nur chhina gaya
dayar-e-dard ke mahlon ki raushni ke liye
na jaane kitne dilon se lahu nichoDa gaya
nae KHudaon ke chehron ki tazgi ke liye
na jaane kitne gharon ke diye bujhae gae
shabon ke raj-dularon ki zindagi ke liye
dayar-e-sabza-o-naghma se dur sahra mein
main chun raha hun wo anmol aansuon ke phul
jinhen bahaar ne Thukra diya hiqarat se
jinhen KHizaon ka daman bhi kar saka na qubul
Tapak ke aankh se jo kho gae andheron mein
in aansuon se jalaenge zindagi ke charagh
ubal paDengi jabinon se nur ki kirnen
sulag uThengi umangen dahak uThenge dimagh
nai hayat ke be-rang daeron ki qasam
uTha ke subh-e-tamanna ke zarfishan-parcham
maqam-e-aKHir-e-shab se guzar rahe hain aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.