maqam-e-jaan
namak ke sahrā meñ apnī palkoñ se
TukḌe TukḌe ye ḳhvāb chun luuñ
to tujh ko dekhūñ
shikasta-hāthoñ se hasratoñ ke azaab chun luuñ
to tujh ko dekhūñ
jo tujh ko dekhūñ to jaan pā.ūñ
ki is saf-e-dostāñ meñ terā maqām kyā hai
naqīb-e-jāñ tū kahāñ khaḌā hai
vo saf ki jis ne mohabbatoñ ke gulāb pahne
aziim chāhat ke surḳh lamhoñ kī hiddatoñ se badan sajā.e
faqat tirā jism hī nahīñ jalva-zan mirī jaañ
balki saarā jahāñ khaḌā hai
namak ke sahra mein apni palkon se
TukDe TukDe ye KHwab chun lun
to tujh ko dekhun
shikasta-hathon se hasraton ke azab chun lun
to tujh ko dekhun
jo tujh ko dekhun to jaan paun
ki is saf-e-dostan mein tera maqam kya hai
naqib-e-jaan tu kahan khaDa hai
wo saf ki jis ne mohabbaton ke gulab pahne
azim chahat ke surKH lamhon ki hiddaton se badan sajae
faqat tera jism hi nahin jalwa-zan meri jaan
balki sara jahan khaDa hai
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 496)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.