maqam-e-saKHt par nigah
maiñ ne apnī dukh bharī vafāt
apnī zindagī kī āḳhirī tavīl raat
bhārī raat dekh lī
maiñ ek musht-e-be-zarar
ḳhud apne ḳhāndāñ ke makr ko bhugat chukā
barat chukā huuñ
apne āḳhirī karīm saañs ko
nigal chukā
siyah dinoñ kī dhuul maiñ
uThā chukā
ahāta-e-vujūd se
uge hazār rang ke hazār phuul maiñ
nahīñ tyāgnā nahīñ
vujūd apnā maiñ ne is tarah
maiñ apnī raakh apne haath se nahīñ uḌā.ūñgā
khaḌe raheñge log
yūñhī saf-ba-saf
kisī ke haath maiñ na ā.ūñgā
kafan ko oḌh kar baḌhā huā huuñ maiñ
kafan ko oḌh kar nahīñ marūñgā maiñ
kisī ke qutb-e-munjamid meñ
apne aap ko nahīñ hai gālnā mujhe
jo asl sat hai asl zar hai
biich meñ kahīñ chamaktī ret kī tarah paḌā huā
nahīñ nikālnā mujhe
maiñ kar ke murtakiz maqām-e-saḳht par nigāh
apne haath paañv dekhne lagā
dimāġh kī rageñ
ubhar ke kanpaTī ko surḳh kar ga.iiñ
maiñ apne kāñdhe apnā peT
apnā darmiyān
apnī dhūp-chhāñv dekhne lagā
maiñ ḳhud ko lahza lahza ḳhud meñ joḌne lagā
maiñ saañs toḌtā huā zamīñ ko chhoḌne lagā
main ne apni dukh bhari wafat
apni zindagi ki aaKHiri tawil raat
bhaari raat dekh li
main ek musht-e-be-zarar
KHud apne KHandan ke makr ko bhugat chuka
barat chuka hun
apne aaKHiri karim sans ko
nigal chuka
siyah dinon ki dhul main
uTha chuka
ahata-e-wujud se
uge hazar rang ke hazar phul main
nahin tyagna nahin
wujud apna main ne is tarah
main apni rakh apne hath se nahin uDaunga
khaDe rahenge log
yunhi saf-ba-saf
kisi ke hath main na aaunga
kafan ko oDh kar baDha hua hun main
kafan ko oDh kar nahin marunga main
kisi ke qutb-e-munjamid mein
apne aap ko nahin hai galna mujhe
jo asl sat hai asl zar hai
bich mein kahin chamakti ret ki tarah paDa hua
nahin nikalna mujhe
main kar ke murtakiz maqam-e-saKHt par nigah
apne hath panw dekhne laga
dimagh ki ragen
ubhar ke kanpaTi ko surKH kar gain
main apne kandhe apna peT
apna darmiyan
apni dhup-chhanw dekhne laga
main KHud ko lahza lahza KHud mein joDne laga
main sans toDta hua zamin ko chhoDne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.