maqbara
ye merā kamra
mire buzurgoñ kā ek tohfa
virāsatoñ kā rivāyatoñ kā ināyatoñ kā
aziim vāris
purānī yādoñ purānī bātoñ purānī qadroñ kā
ik atiyya
agarche naqsh-o-nigār is ke
ġham-e-zamāna kī āñdhiyoñ se
vo rang-o-roġhan vo kaif-o-mastī
har ek ḳhūbī ko kho chuke haiñ
magar hai phir bhī aziiz mujh ko
har ek dīvār ab hai ḳhasta
har ek mehrāb hai shikasta
vo farsh jis par kisī zamāna meñ farsh-e-maḳhmal bichhā huā thā
magar koī mah-jabīñ thirak kar
ye gā rahī thī
farsh-e-maḳhmal pe mire paañv chhile jaate haiñ
na farsh-e-maḳhmal na pā-e-nāzuk
chaTā.iyāñ kuchh bichhī huī haiñ
jahāñ pe fānūs jal rahā thā
vahāñ pe ab ik diyā hai raushan
jo shaam hī se bujhā bujhā sā
charāġh-e-muflis kī tarah yaaro
sisak rahā hai
ye merā kamra
mire buzurgoñ kā ek tohfa
maiñ sochtā huuñ maiñ jāntā huuñ
ki is kī buniyād kyoñ paḌī thī
maiñ dekhtā huuñ
ki ab bhī baaqī haiñ is fazā meñ
purānī tahzīb ke pujārī
vahī rivāyāt-e-shahryārī
vahī hai jang-e-ġhurūr jaarī
maiñ sochtā huuñ ki in rivāyāt ke dhuñdalkoñ se kaise niklūñ
mire lahū kī tamām gardish
mirī zabāñ kā har ek jumla
mirī nazar kā har ek manzar
mire badan kī har ek laġhzish
ye chāhtī hai ki is rivāyat ke maqbare ko
kisī jahannum meñ pheñk aa.uuñ
magar maiñ phir sochtā huuñ yaaro
ki har mahīne kī biis tārīḳh hī se kahtī hai dil kī dhaḌkan
ki haath roko
zarūratoñ kī ridā sameTo
nahīñ to chādar se paañv bāhar nikal paḌeñge
ye mashvare dil ke hoñ to socho
nayā makāñ kis tarah banegā
nahīñ nahīñ maiñ nahīñ girā.uñgā shahryāroñ ke is khañDar ko
ki sar chhupāne ke vāste ab kahīñ jagah bhī na mil sakegī
ye merā kamra
mire buzurgoñ kā ek tohfa
maiñ is kā vāris ye merā vāris
ye mera kamra
mere buzurgon ka ek tohfa
wirasaton ka riwayaton ka inayaton ka
azim waris
purani yaadon purani baaton purani qadron ka
ek atiyya
agarche naqsh-o-nigar is ke
gham-e-zamana ki aandhiyon se
wo rang-o-roghan wo kaif-o-masti
har ek KHubi ko kho chuke hain
magar hai phir bhi aziz mujh ko
har ek diwar ab hai KHasta
har ek mehrab hai shikasta
wo farsh jis par kisi zamana mein farsh-e-maKHmal bichha hua tha
magar koi mah-jabin thirak kar
ye ga rahi thi
farsh-e-maKHmal pe mere panw chhile jate hain
na farsh-e-maKHmal na pa-e-nazuk
chaTaiyan kuchh bichhi hui hain
jahan pe fanus jal raha tha
wahan pe ab ek diya hai raushan
jo sham hi se bujha bujha sa
charagh-e-muflis ki tarah yaro
sisak raha hai
ye mera kamra
mere buzurgon ka ek tohfa
main sochta hun main jaanta hun
ki is ki buniyaad kyon paDi thi
main dekhta hun
ki ab bhi baqi hain is faza mein
purani tahzib ke pujari
wahi riwayat-e-shahryari
wahi hai jang-e-ghurur jari
main sochta hun ki in riwayat ke dhundalkon se kaise niklun
mere lahu ki tamam gardish
meri zaban ka har ek jumla
meri nazar ka har ek manzar
mere badan ki har ek laghzish
ye chahti hai ki is riwayat ke maqbare ko
kisi jahannum mein phenk aaun
magar main phir sochta hun yaro
ki har mahine ki bis tariKH hi se kahti hai dil ki dhaDkan
ki hath roko
zaruraton ki rida sameTo
nahin to chadar se panw bahar nikal paDenge
ye mashware dil ke hon to socho
naya makan kis tarah banega
nahin nahin main nahin giraunga shahryaron ke is khanDar ko
ki sar chhupane ke waste ab kahin jagah bhi na mil sakegi
ye mera kamra
mere buzurgon ka ek tohfa
main is ka waris ye mera waris
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.