maqsad-e-hayat
be-sabātī ziist kī taslīm kartā huuñ magar
kyā zarūrī hai ki be-maqsad bhī ho jaa.e hayāt
koī nasabulain ho gar aadmī ke sāmne
hastī-e-nāchīz bhī sābit ho rūh-e-kā.enāt
ik haqīqat mujh pe raushan hai jo kartā huuñ bayāñ
jabki maiñ ai dosto mard-e-jahāñ-dīda nahīñ
be-irāda kyoñ phire insān dasht-e-dahr meñ
zindagī jo kuchh bhī ho barg-e-ḳhizāñ-dīda nahīñ
be-sabaati zist ki taslim karta hun magar
kya zaruri hai ki be-maqsad bhi ho jae hayat
koi nasabulain ho gar aadmi ke samne
hasti-e-nachiz bhi sabit ho ruh-e-kaenat
ek haqiqat mujh pe raushan hai jo karta hun bayan
jabki main ai dosto mard-e-jahan-dida nahin
be-irada kyon phire insan dasht-e-dahr mein
zindagi jo kuchh bhi ho barg-e-KHizan-dida nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.