maqsud-e-ulfat
kyā mire husn-e-dil-āvez pe tū martā hai
sho.ala-rūī pe mirī jaan fidā kartā hai
ye agar sach hai to jā mujh se mohabbat mat kar
nigah-e-ishq ruḳh-e-mahr-e-jahāñ-tāb pe Daal
husn-e-be-misl ko jis ke na ajal hai na zavāl
kam-sinī par mirī maa.il hai tabī.at terī
husn-e-nau-ḳhez se vābasta hai ulfat terī
ye agar sach hai to jā mujh se mohabbat mat kar
terī ulfat ke hai qābil ruḳh-e-zebā-e-bahār
jis ke anmol javāhar kā nahīñ koī shumār
chāhtā hai mujhe tū kyā mirī hashmat ke liye
dil hai bekal tirā mere zar-o-daulat ke liye
ye agar sach hai to jā mujh se mohabbat mat kar
chāhiye tujh ko kare bahr-e-guhar-ḳhez se pyaar
jis ke anmol javāhar kā nahīñ koī shumār
pyaar mujh se hai tujhe kyā mirī ulfat ke liye
dil hai parvāna tirā sham-e-mohabbat ke liye
ye agar sach hai to kar mujh se mohabbat pyāre
behtar az mehr-o-bahār-e-dil-e-shaidā merā
bahr meñ bhī nahīñ aisā guhar-e-mehr-o-vafā
kya mere husn-e-dil-awez pe tu marta hai
shoala-rui pe meri jaan fida karta hai
ye agar sach hai to ja mujh se mohabbat mat kar
nigah-e-ishq ruKH-e-mahr-e-jahan-tab pe Dal
husn-e-be-misl ko jis ke na ajal hai na zawal
kam-sini par meri mail hai tabiat teri
husn-e-nau-KHez se wabasta hai ulfat teri
ye agar sach hai to ja mujh se mohabbat mat kar
teri ulfat ke hai qabil ruKH-e-zeba-e-bahaar
jis ke anmol jawahar ka nahin koi shumar
chahta hai mujhe tu kya meri hashmat ke liye
dil hai bekal tera mere zar-o-daulat ke liye
ye agar sach hai to ja mujh se mohabbat mat kar
chahiye tujh ko kare bahr-e-guhar-KHez se pyar
jis ke anmol jawahar ka nahin koi shumar
pyar mujh se hai tujhe kya meri ulfat ke liye
dil hai parwana tera sham-e-mohabbat ke liye
ye agar sach hai to kar mujh se mohabbat pyare
behtar az mehr-o-bahaar-e-dil-e-shaida mera
bahr mein bhi nahin aisa guhar-e-mehr-o-wafa
- Book : Intekhabe Kalam (Pg. 49)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.