maqsum
zaḳhm-ḳhurda hañsī kī sadā
āñkhoñ ke rauzan se ghar meñ utartī rahī
shīshiyāñ rasmī jumloñ kī āġhosh meñ kasmasātī rahīñ
be-ḳhvāb bistar pe be-rang sī titliyāñ
phaḌphaḌātī rahīñ
be-sāñs siina
phūltā aur pichaktā rahā
dost aur rishta-dāroñ ke jūtoñ ke talve
ghiste rahe
sub.h jaatī na thī
shaam aatī na thī
zaKHm-KHurda hansi ki sada
aankhon ke rauzan se ghar mein utarti rahi
shishiyan rasmi jumlon ki aaghosh mein kasmasati rahin
be-KHwab bistar pe be-rang si titliyan
phaDphaDati rahin
be-sans sina
phulta aur pichakta raha
dost aur rishta-daron ke juton ke talwe
ghiste rahe
subh jati na thi
sham aati na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.