maqtal
mere siine pe sar rakh ke rotī rahī
merī palkoñ se palkeñ bhigotī rahī
maiñ bhī rotā rahā
mere siine pe sar rakh ke sotī rahī
maiñ bhī sotā rahā
merī āñkhoñ meñ kuchh DhūñDhtī sī rahī
maiñ bhī dekhā kiyā
ḳhāmushī ke hijāboñ meñ halchal rahī
maiñ khaḌā pur-sukūñ but taḌaptā rahā
vaqt-o-hālāt phir darmiyāñ aa ga.e
duur hote ga.e
phir ḳhudā-hāfizī
phir judā ho ga.e
phir tasavvur kī duniyā
masāfat kī aḌchan
vahī vaqt-o-hālāt kī bandisheñ
do dhaḌakte diloñ ārzuoñ ko
duniyā ne maqtal meñ apne
kiyā hai tah-e-teġh
mere sine pe sar rakh ke roti rahi
meri palkon se palken bhigoti rahi
main bhi rota raha
mere sine pe sar rakh ke soti rahi
main bhi sota raha
meri aankhon mein kuchh DhunDhti si rahi
main bhi dekha kiya
KHamushi ke hijabon mein halchal rahi
main khaDa pur-sukun but taDapta raha
waqt-o-haalat phir darmiyan aa gae
dur hote gae
phir KHuda-hafizi
phir juda ho gae
phir tasawwur ki duniya
masafat ki aDchan
wahi waqt-o-haalat ki bandishen
do dhaDakte dilon aarzuon ko
duniya ne maqtal mein apne
kiya hai tah-e-tegh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.