maqule par amal
tamāshā ik ajab sā ek din yuuñ raah meñ dekhā
kisī ko dekhte haiñ log ik majma.a ikaTThā hai
aTā hai dhuul meñ ik naujavāñ miTTī meñ leTā hai
uThā kar gard apne jism sar chehre pe maltā hai
kisī kī kuchh nahīñ suntā na hañstā hai na rotā hai
vo bas ḳhāmosh farsh-e-ḳhāk par yūñhī taḌaptā hai
baḌī mushkil se sab ne naujavāñ ko rok kar pūchhā
tumhārī is pareshānī kā batlāo sabab kyā hai
kahā us naujavāñ ne aap sab nāhaq pareshāñ haiñ
samajh sakte nahīñ haiñ aap ki mujh ko huā kyā hai
na pāgal huuñ na majnūñ huuñ na hai koī maraz mujh ko
amal pairā huuñ maiñ jis par purānā ik maqūla hai
miTā de apnī hastī ko agar kuchh martaba chāhiye
ki daana ḳhaak meñ mil kar gul-e-gulzār hotā hai
tamasha ek ajab sa ek din yun rah mein dekha
kisi ko dekhte hain log ek majma ikaTTha hai
aTa hai dhul mein ek naujawan miTTi mein leTa hai
uTha kar gard apne jism sar chehre pe malta hai
kisi ki kuchh nahin sunta na hansta hai na rota hai
wo bas KHamosh farsh-e-KHak par yunhi taDapta hai
baDi mushkil se sab ne naujawan ko rok kar puchha
tumhaari is pareshani ka batlao sabab kya hai
kaha us naujawan ne aap sab nahaq pareshan hain
samajh sakte nahin hain aap ki mujh ko hua kya hai
na pagal hun na majnun hun na hai koi maraz mujh ko
amal paira hun main jis par purana ek maqula hai
miTa de apni hasti ko agar kuchh martaba chahiye
ki dana KHak mein mil kar gul-e-gulzar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.