maraatib-e-wajud bhi ajib hain
achānak ik shabīh
be-sadā sī jast bhar ke
aa.ine ke paas se guzar ga.ī
siyāh zard dhāriyāñ
ki jaise lahr ek lahr se juḌī huī
siñgār mez ek dam laraz uThī
clock kā talā.ī aks bhī dahal gayā
badan jo thā buḳhār ke hisār meñ pighal gayā
marātib-e-vajūd bhī ajiib haiñ
lahū kī kauniyāt meñ
sifāt aur zaat meñ
ajab tarah ke bhed haiñ
yaqīn o zan kī chalniyoñ meñ
sau tarah ke chhed haiñ
abhī to jāgtā thā maiñ
amiiq dard meñ karāhtā thā maiñ
phir aañkh kaise lag ga.ī
abhī to sau rahā thā maiñ
phir aañkh kaise khul ga.ī
badan se ye lihāf kā pahāḌ kaise haT gayā
ḳhabar nahīñ ki haDDiyoñ ke joḌ kis tarah khule
dahan farāḳh ho ke pīchhe kaise khiñch gayā
nukīle daañt kis tarah nikal paḌe
nigāheñ kaise shola-rū huiiñ
na jaane kaise dast-o-pā kī uñgliyāñ muḌī
kamar lachak sī khā ke kaise phailtī ga.ī
ye jild kaise saḳht khaal meñ Dhalī
ye gupphe-dār dum kahāñ se aa ga.ī
vajūd ke kachār meñ
dahāḌtā huā
zaqand bhar ke maiñ kahāñ chalā gayā
mujhe to kuchh patā nahīñ
marātib-e-vajūd bhī ajiib haiñ
achanak ek shabih
be-sada si jast bhar ke
aaine ke pas se guzar gai
siyah zard dhaariyan
ki jaise lahr ek lahr se juDi hui
singar mez ek dam laraz uThi
clock ka talai aks bhi dahal gaya
badan jo tha buKHar ke hisar mein pighal gaya
maraatib-e-wajud bhi ajib hain
lahu ki kauniyat mein
sifat aur zat mein
ajab tarah ke bhed hain
yaqin o zan ki chalniyon mein
sau tarah ke chhed hain
abhi to jagta tha main
amiq dard mein karahta tha main
phir aankh kaise lag gai
abhi to sau raha tha main
phir aankh kaise khul gai
badan se ye lihaf ka pahaD kaise haT gaya
KHabar nahin ki haDDiyon ke joD kis tarah khule
dahan faraKH ho ke pichhe kaise khinch gaya
nukile dant kis tarah nikal paDe
nigahen kaise shola-ru huin
na jaane kaise dast-o-pa ki ungliyan muDi
kamar lachak si kha ke kaise phailti gai
ye jild kaise saKHt khaal mein Dhali
ye gupphe-dar dum kahan se aa gai
wajud ke kachaar mein
dahaDta hua
zaqand bhar ke main kahan chala gaya
mujhe to kuchh pata nahin
maraatib-e-wajud bhi ajib hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.