marg-e-gul se peshtar
sab darīche band haiñ tum kuchh kaho
tum samajhte ho garebāñ-chāk huuñ
maiñ to andoh-e-samā.at ke jarāsīmoñ se
bilkul paak huuñ
nāla-e-bebāk huuñ
sab darīche band haiñ tum kuchh kaho
tum samajhte ho ki bīnā.ī ga.ī
bujh gayā har rauzan-e-dīvār chup hai raushnī
nīm-vā hai tīrgī
ye shaguft-e-ġhuncha-e-lab kī sadā
vo hasīñ qaus-e-quzah rañgīñ-qabā
dhaḌkanoñ kā silsila
sab darīche band haiñ tum kuchh kaho
tum samajhte ho ki saarī uñgliyāñ patthar kī haiñ
kyuuñ qalam ke ḳhushk hoñToñ se
koī kāġhaz chhueñ
ism-e-āzam kī likheñ
sab darīche band haiñ tum kuchh kaho
tum samajhte ho ki ḳhvāboñ meñ ḳhayāloñ ko liye
laḌkhaḌā.eñge hamesha vasl kī ḳhvāhish meñ
yūñhī bin piye
apne hoñToñ ko siye
maiñ samajhtā huuñ ai mere chāra-gar
marg-e-gul se peshtar
ik siyah sho.ala sā kartā hai tavāf-e-bū-e-jāñ
lekin ai jān-e-jahāñ
chhū añgusht-e-shahādat se koī nok-e-sināñ
maiñ likhūñgā tere chehre par vo anmiT dāstāñ
zindagī sach bol de
jo sab darīche khol de
zindagī sach bol de
sab dariche band hain tum kuchh kaho
tum samajhte ho gareban-chaak hun
main to andoh-e-samaat ke jarasimon se
bilkul pak hun
nala-e-bebak hun
sab dariche band hain tum kuchh kaho
tum samajhte ho ki binai gai
bujh gaya har rauzan-e-diwar chup hai raushni
nim-wa hai tirgi
ye shaguft-e-ghuncha-e-lab ki sada
wo hasin qaus-e-quzah rangin-qaba
dhaDkanon ka silsila
sab dariche band hain tum kuchh kaho
tum samajhte ho ki sari ungliyan patthar ki hain
kyun qalam ke KHushk honTon se
koi kaghaz chhuen
ism-e-azam ki likhen
sab dariche band hain tum kuchh kaho
tum samajhte ho ki KHwabon mein KHayalon ko liye
laDkhaDaenge hamesha wasl ki KHwahish mein
yunhi bin piye
apne honTon ko siye
main samajhta hun ai mere chaara-gar
marg-e-gul se peshtar
ek siyah shoala sa karta hai tawaf-e-bu-e-jaan
lekin ai jaan-e-jahan
chhu angusht-e-shahadat se koi nok-e-sinan
main likhunga tere chehre par wo anmiT dastan
zindagi sach bol de
jo sab dariche khol de
zindagi sach bol de
- Book : Pakistani Adab (Pg. 104)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.